View Single Post
  #2  
Old Sunday, May 08, 2016
Innocent Heart's Avatar
Innocent Heart Innocent Heart is offline
Senior Member
 
Join Date: Nov 2015
Location: Earth
Posts: 377
Thanks: 328
Thanked 181 Times in 124 Posts
Innocent Heart is on a distinguished road
Default

Quote:
Originally Posted by sidrahhh View Post
***"(HAPPY MOTHER'S DAY)"***

"MAA"
“Maa bhi kia khoob hasti banai hai merey rab nay,
“Didar jiska sabhi dukh pareshaniya kar deta hai khatam khud bakhud.
“Khaliq ko apni khalq say ulfat thi isi liye,
“Janat utar dali hai Maa kay roop main.
“Sar pay jo hath pherey to himat aa jaye,
“Ek bar muskura kar jo dakhey to janat mil jaye.
“Rukhsat ghar say karti hai woh lakh duain day kar,
“Maa kay DiL main wos’at rab nay apne jasei rakhi hai.


“Meri Maa ki Dua”
“Utar nay he nahi dati mujh par koi aafat,
“Meri Maa ki Duaon nay aasma ko rok rakha hai.
“Jab bhi kashti meri selab main aa jati hai,
“Maa dua karti hui khuwab main aa jati hai.
“Merey sar par meri Maa ki reza-e-shafqat hai warna,
“Zamanay ki kari dhoop say main ab tak jal chuki hoti.
“Maa ki dua zindagi bana day gi, khud roye gi magar tumhey hasa day gi,
“Kabhi bhool kar bhi Maa ko naa rulana, ek choti si galti pura arsh hila day gi.


“Maa Kay Qadam”
“Chum lon terey paon palkon say Maa,
“Ashkon say aankhon ko bawazu kar lon.
“Daasta merey laad-piyaar ki bas, ek hasti kay gird khomti hai,
“Piyar janat say is liya hai mujhay, yeh meri Maa kay qadam chumti hai.


“Woh Meri Maa Ka Chehra Hai”
“Jisay main husan kahti hon, who meri Maa ka chehra hai,
“Jisay main ishq kahti hon, who meri Maa ki aankhay hain,
“Jiska har lafz mujhy lagta hai qra jesa,
“Jisay manin roz sunti thi, who meri Maa ki batein thi.


“Maa Tere Naam”
“Maa meri kamyabiya, izat ye naam tum say hai,
“Allah nay jo bhi diya hai, yeh muqam tum say hai,
“Tumharey dam say hai merey laho main khultay gulaab,
“Merey wajood ka sara nizam tum say hai,
“Jaha jaha hai meri dushmani, sabab main hon,
“Jaha jaha hai mera ehtaram, sabab tum ho Maa.

“Meri zindagi, meri khushi, meri chahat hai meri Maa,
“Meri muhabat, mera ishq, meri diwangi hai meri Maa.
“Merey dukhon main hoti hain jiski aankhain ashkbad,
“Meri zindagi ka hasil hai meri Maa.
Meri khushion ki, merey sukh dukh ki sathi,
“Woh piyari si hasti hai meri Maa.
“Meri kamyabion, meri manzilo ki talib,
“Har pal duein mangti jo merey wastey hai meri Maa.

“Hum jugnon thy, titli thy, hum rung-burngy punchi thy,
“Kuch mah wasal ki dolat main Maa hum dono bhi sathi thy.
“Main choti si ek bachi thi teri ungali tham kay chalti thi,
“Toh door nazar say hoti thi, main anso anso roti thi,
“Maa tunay kitnay barson tak is bhool ko sicha haathon say,
“Jivan kay gahray bheeton man, main samji teri baton ko,
“Ab mitti kay is pardey main, Tu meri ankhon sey ojhal hai,
“Ek dukh kay gahray badal mey, kab say mera DiL bojhal hai,
“Main hath kay taqiye par ab bhi raton ko soti hon,
“Maa main ek choti si bachi hon, main ab tak tori hon.


“Maa Tere Bicharnay Key Bad”
“Maa hua hai tujh say bicharney kay bad ye maloom,
“Kay tu nahi thi, tery saath ek duniya thi.
“Har mushkil aasa hoti hai,
“Jab tak Maa zinda hoti hai.

“Ay Maa mujhay neend nahi ati”
“Mujhay apni aagosh shafqat day do,
“Mere mathay pay lab-e-muhabat rakh do.
“Mujhay mithi lori suna kar, mere sarey gum mita kar,
“Apnay sinay ki thandak main chupa lo aa Maa.
“Mudat hui main soi nahi, kai ratein kat gai main roi nahi.

“Waqat-e-Rukhsat”
“Maa tere baad bata, kon labon say apnay,
“Waqat-e-rukhsat merey mathay pay Dua likhay ga.

"Piyari Maa"
“Piyari Maa Mujh ko teri Dua chahye,
“Terey anchal ki thandi hawa chahye.



Happy mothers day


Sent from my Nokia_X using Tapatalk
__________________
" When you know better you do better"
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Innocent Heart For This Useful Post:
ursula (Sunday, May 08, 2016)