Tarrapta hay yeh dil, machalta hay yeh dil
Tumharay liay hi dharrakta hay yeh dil
Jo mumkin ho ik bar jalwah dikha do
Tumhain dekhnay ko tarasta hay yeh dil
Her ik ghum saha hay meray dil nay lakin
Kahan ab sanbhlay sanbhalta hay yeh dil
Shab-e-hijar hay, aag dil main lagi hay
Sar-e-sham say hi sulagta hay yeh dil
Jahan main sabhi ghair lagtay hain mujhko
Tumhi ko bas apna samjhta hay yeh dil
Mulaqat ki aas jab say hay bandhi
Musarat say kaisay uchalta hay yeh dil
Khurd say hoti hay roz takrar iss ki
Jano.n main roz garajta hay yeh dil
Sajaye hon main bam-o-dar apnay ghar k
Chalay aain, rah takta hay yeh dil
Aksar sehtay howay tumharay ghum, humdam
Jam-e-nain labraiz, chalakta hay yeh dil
Na aao magar mujh say wada tu kar lo
Keh wado say ub bhi behalta hay yeh dil
Aghiyar k wastay tumhari nazar-e-inayat
Tabhi tu Ghazal ka jalta hay yeh dil