CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Islamiat (http://www.cssforum.com.pk/css-compulsory-subjects/islamiat/)
-   -   Imp:Islam ka nazirya-e-baqa-e-bahmi/Co-existence/pluralism (http://www.cssforum.com.pk/css-compulsory-subjects/islamiat/43961-imp-islam-ka-nazirya-e-baqa-e-bahmi-co-existence-pluralism.html)

xaara~hussain Wednesday, January 26, 2011 11:44 PM

Imp:Islam ka nazirya-e-baqa-e-bahmi/Co-existence/pluralism
 
Salam,

jaisa k 2010 k paper main pahla sawal hi islami nazriya-e-baqa-e-bahmi/co-existence/pluralistic vision of islam pe tha, to main us sawal ko hal krne ki hattal imkaan koshish kroon gi. (urdu main :D ) U guys are welcome to criticise, appreciate, rectify the errors or make contributions to this:pipe

[B]Sawal:

Deen or Mazhab main bunyadi farq ki wazahat karte hue Islam or Mazahib-e-aalim k darmyaan aalmi tanazer main Baqa-e-Bahmi k aham nukkat byaan kijiye.
[/B]
[B][U]Deen aour Mazhab main Farq:
[/U][/B]

[I]"aur ALLAH ki bargah main maqbool DEEN to sirf Islam hai." (Aal-e-Imran)[/I]

Lafz "mazhab" or lafz "Deen" main mafhoom k aitbaar se bohot farq hai, agharche hamare han aam tor per Islam ko mazhab kaha jata hai. laikin dilchasp amr yeh hai k Qur'an-e-Majeed or Hadees k zakheera main kaheen b Islam ko "mazhab" k naam se nahi pukara gya, belkey "DEEN" ka lafz istemaal kia gya hai.

Mazhab kya hai? Mazhab aik jazwi haqeeqat hai jo sirf chand aqayad aur kuch marasim-e-aboodiyat k majmue ka naam hai laikin DEEN se muard hai "aik mukammal nizaam-e-zindagi" jo tamam pahluon per haawi ho. goya mazhab k muqable main deen aik bari or jaame haqeeqat hai. is pasmanzer main yeh kahna darust nahi ho ga k Islam aik Mazhab nahi hai, is liye k mazhab k tamam anasir Islam main mojud hain (Ibadiyaat aur Aqaid). Islam main na sirf aik mazhab ka khaka mojood hai, belkey aik mukkammal zindagi ka laaha-e-amal bhi hai. Bilashuba Islam aik mazhab hai, magar Islam mahaz aik mazhab nahi. chanache isko mazhab kahna is k dunyawi anasir ko nazar andaz krna ho ga.

[U][B]Deen-e-Islam or Deegar mazhaahib-e-Alam-Baqa-e-Bahmi:
[/U]
[I]Ta'aruf[/B]
[/I]
Kisi aik khitta-e-zameen ma mazhaahib to bayak waqt bohot se ho sakte hain laikin deen aik waqt main sirf aik hi hosakta hai kiun k Deen aik mukammal zaabita-e-hayaat ka naam hai or kaamil Zaabita-e-hayaat, jin b ashkaal main ho, aik hi hoga. Nizamon k zaman main aik imkaani surat paida ho sakti hai k aik nizaam ghaalib-o-bartar ho aur wohi haqeeqat main "nizaam" kahlaye ga or dusre nizaam simmat kar mazaahib ki shakal ikhtiyaar kar lain.

Deen jub maghloob hota hai to Mazhab ki shakal ikhtiyaar kar laita hai. Is surat main woh deen nahi balkey mazhab ban jata hai. Islam k daur-e-arooj main ghaalib nizaam Islam ka tha laikin is deen k taabay yahudiyat,essayiat or nasraniyat apni jagah per mazhab ki haisiyat se barqrar the. or Islami riyasat ki hadud andar gher-muslimon ko apna mazhab per puri tarha se amal karne ki ijazat thi.

[B][U]Baqa-e-Bahmi kya hai?
[/U][/B]
Baqa-e-bahmi aik aisa ta'awun hai jis ki buniyad bahmi aetmaad or ahtraam ho, jis ka nasb-ul-ain tamam hareefon ki azadana raye or khuwaish k ain mutabiq ho.

is tanaazer main aik aham nukta yeh hai k baqa-e-bahmi ka hargiz mutlub kisi aik mazhab k aqaid-o-ibadaat ko dusre mazhab k aqaid-o-ibadaat main shamil karna nahi ([I]Akbar Badishah ka Deen-e-Ilaahi[/I]), balkay tamam mazahib ka nasb-ul-ain Insaaniyat ki surat main simmat kar mushtarka ho jata hai. yaani yahudi apni ibadaat-o-aqaid ki perwi kre, essayi apne mazhab ki or aik Muslmaan apne aqaid ki. magar in tamam fareeqan k mabeyn Akhuwwat, Rawadari, tahammul, Burdbari, Khandapeshani, Husn-e-salook or deegar tamam Akhlaaqi aqdaar lagu hon. Yahan Deen-e-Islam ki khoobsurti or nikhar kar samne aati hai, kiun k yeh Aqhlaaqi Aqdaar sirf dee-e-Islam ka khaasa hi hain. lehaza agar yeh kah lia jaye k yeh Islam ka btor-e-Deen attlaq hai to ghalat na ho ga!

[B][U]Baqa-e-Bahmi k aham nukkat:[/U][/B]

Baqa-e-Bahmi ka laaha-e-amal Sheikh Muhammad Al-Ghazali ki nazar main teen buniyadon per mushtamil ho sakta hai;

1. Allah Jallah Jalalo hu ki shaan se mutaliq jo bhi ta'asub pasandana khyaalat hain, un ki tardeed ki jaye ([B][I] maslen Raam or Rahman ka nazirya[/I][/B])
Is nazriye k mutabiq Ilhaami mazaahib hi Baqa-e-Bahmi k asal haqdaar hain.

2. Is baat per muttafiq hona k Allah ne tamam Nabiyon ko Insaanon main se bahtreen insaanon k tor par chuna.

3. Bahmi hassas mozooa'at ko na chera jaye, takahy tamam mazahib k liye qabil-e-qabul laaha-e-amal tayyar kiya ja sake.

[B][U]Haasil-e-bahas:
[/U][/B]
Islam aik wahid aisa mazhab hai, jo Deen bhi hai. Islam k andar yeh quwwat hai k yeh tamam mazaahib-e-aalim per ghaalib ajaye, magar shidat pasandi or dahshat gardi k zariye nahi balkay un kaamil Akhlaaqi taleemat se jo sirf deen-e-Islam ka khaasa hain. un Aqhlaaqi tamilaat ki badolat Islam k andar qawwi or darakhsan imkaanaat hain k woh tamam mazaahib ko apne sath le kr chal sake.

Baqa-e-bahmi ka tassawur aik wasee canvas ki surat hai, jis per dusre mazaahib k sath mil kar maholiyati aloodgi, global warming, mukhtalif insaani beemariyon, nasli ta'asub, aalmi na-insafi or masum logon k bejaa khoon-baha jaise mozooa'at ki akkasi ki ja sakti hai.

There is so much to add, but this roman Urdu typing is a bit annoying :unsure:

Compiled by: Zahra:blush:

Humayun Khan Thursday, January 27, 2011 01:24 AM

Good Work!!
 
You are right its a bit annoying..

But i think we can compensate for it by just reading the [B]Headings[/B] and 3 or 4 [B]bullet form points[/B] under each [B]Heading[/B]... if and if you are comfortable with it... by doing so, the readers can get a little idea if not the whole plot of the thought!

Keep up the good work!!

xaara~hussain Friday, January 28, 2011 05:57 PM

[QUOTE=Humayun Khan;258392]You are right its a bit annoying..

But i think we can compensate for it by just reading the [B]Headings[/B] and 3 or 4 [B]bullet form points[/B] under each [B]Heading[/B]... if and if you are comfortable with it... by doing so, the readers can get a little idea if not the whole plot of the thought!

Keep up the good work!![/QUOTE]
yes thats a good idea. I will try solving out the technical questions if i get time:)

xaara~hussain Saturday, January 29, 2011 02:52 PM

[QUOTE=Farrah Zafar;259237]@Xara same here.I also skipped Psycho and opted Sociology and Journalism.
Raat din Gardish mein hain saat aasmaan,
ho rahay ga kuch na kuch,ghabrayen kia..:)

@anaina My name is Farrah Zafar,what more you want to know,kindly tell.[/QUOTE]
Do pray for me. shivers of anxiety :(


03:58 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.