Sunday, April 28, 2024
11:07 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > CSS Compulsory Subjects > Islamiat

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Wednesday, January 26, 2011
xaara~hussain's Avatar
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2005
Location: Islamabad
Posts: 722
Thanks: 702
Thanked 852 Times in 370 Posts
xaara~hussain is a glorious beacon of lightxaara~hussain is a glorious beacon of lightxaara~hussain is a glorious beacon of lightxaara~hussain is a glorious beacon of lightxaara~hussain is a glorious beacon of light
Post Imp:Islam ka nazirya-e-baqa-e-bahmi/Co-existence/pluralism

Salam,

jaisa k 2010 k paper main pahla sawal hi islami nazriya-e-baqa-e-bahmi/co-existence/pluralistic vision of islam pe tha, to main us sawal ko hal krne ki hattal imkaan koshish kroon gi. (urdu main ) U guys are welcome to criticise, appreciate, rectify the errors or make contributions to this

Sawal:

Deen or Mazhab main bunyadi farq ki wazahat karte hue Islam or Mazahib-e-aalim k darmyaan aalmi tanazer main Baqa-e-Bahmi k aham nukkat byaan kijiye.

Deen aour Mazhab main Farq:


"aur ALLAH ki bargah main maqbool DEEN to sirf Islam hai." (Aal-e-Imran)

Lafz "mazhab" or lafz "Deen" main mafhoom k aitbaar se bohot farq hai, agharche hamare han aam tor per Islam ko mazhab kaha jata hai. laikin dilchasp amr yeh hai k Qur'an-e-Majeed or Hadees k zakheera main kaheen b Islam ko "mazhab" k naam se nahi pukara gya, belkey "DEEN" ka lafz istemaal kia gya hai.

Mazhab kya hai? Mazhab aik jazwi haqeeqat hai jo sirf chand aqayad aur kuch marasim-e-aboodiyat k majmue ka naam hai laikin DEEN se muard hai "aik mukammal nizaam-e-zindagi" jo tamam pahluon per haawi ho. goya mazhab k muqable main deen aik bari or jaame haqeeqat hai. is pasmanzer main yeh kahna darust nahi ho ga k Islam aik Mazhab nahi hai, is liye k mazhab k tamam anasir Islam main mojud hain (Ibadiyaat aur Aqaid). Islam main na sirf aik mazhab ka khaka mojood hai, belkey aik mukkammal zindagi ka laaha-e-amal bhi hai. Bilashuba Islam aik mazhab hai, magar Islam mahaz aik mazhab nahi. chanache isko mazhab kahna is k dunyawi anasir ko nazar andaz krna ho ga.

Deen-e-Islam or Deegar mazhaahib-e-Alam-Baqa-e-Bahmi:

Ta'aruf


Kisi aik khitta-e-zameen ma mazhaahib to bayak waqt bohot se ho sakte hain laikin deen aik waqt main sirf aik hi hosakta hai kiun k Deen aik mukammal zaabita-e-hayaat ka naam hai or kaamil Zaabita-e-hayaat, jin b ashkaal main ho, aik hi hoga. Nizamon k zaman main aik imkaani surat paida ho sakti hai k aik nizaam ghaalib-o-bartar ho aur wohi haqeeqat main "nizaam" kahlaye ga or dusre nizaam simmat kar mazaahib ki shakal ikhtiyaar kar lain.

Deen jub maghloob hota hai to Mazhab ki shakal ikhtiyaar kar laita hai. Is surat main woh deen nahi balkey mazhab ban jata hai. Islam k daur-e-arooj main ghaalib nizaam Islam ka tha laikin is deen k taabay yahudiyat,essayiat or nasraniyat apni jagah per mazhab ki haisiyat se barqrar the. or Islami riyasat ki hadud andar gher-muslimon ko apna mazhab per puri tarha se amal karne ki ijazat thi.

Baqa-e-Bahmi kya hai?

Baqa-e-bahmi aik aisa ta'awun hai jis ki buniyad bahmi aetmaad or ahtraam ho, jis ka nasb-ul-ain tamam hareefon ki azadana raye or khuwaish k ain mutabiq ho.

is tanaazer main aik aham nukta yeh hai k baqa-e-bahmi ka hargiz mutlub kisi aik mazhab k aqaid-o-ibadaat ko dusre mazhab k aqaid-o-ibadaat main shamil karna nahi (Akbar Badishah ka Deen-e-Ilaahi), balkay tamam mazahib ka nasb-ul-ain Insaaniyat ki surat main simmat kar mushtarka ho jata hai. yaani yahudi apni ibadaat-o-aqaid ki perwi kre, essayi apne mazhab ki or aik Muslmaan apne aqaid ki. magar in tamam fareeqan k mabeyn Akhuwwat, Rawadari, tahammul, Burdbari, Khandapeshani, Husn-e-salook or deegar tamam Akhlaaqi aqdaar lagu hon. Yahan Deen-e-Islam ki khoobsurti or nikhar kar samne aati hai, kiun k yeh Aqhlaaqi Aqdaar sirf dee-e-Islam ka khaasa hi hain. lehaza agar yeh kah lia jaye k yeh Islam ka btor-e-Deen attlaq hai to ghalat na ho ga!

Baqa-e-Bahmi k aham nukkat:

Baqa-e-Bahmi ka laaha-e-amal Sheikh Muhammad Al-Ghazali ki nazar main teen buniyadon per mushtamil ho sakta hai;

1. Allah Jallah Jalalo hu ki shaan se mutaliq jo bhi ta'asub pasandana khyaalat hain, un ki tardeed ki jaye ( maslen Raam or Rahman ka nazirya)
Is nazriye k mutabiq Ilhaami mazaahib hi Baqa-e-Bahmi k asal haqdaar hain.

2. Is baat per muttafiq hona k Allah ne tamam Nabiyon ko Insaanon main se bahtreen insaanon k tor par chuna.

3. Bahmi hassas mozooa'at ko na chera jaye, takahy tamam mazahib k liye qabil-e-qabul laaha-e-amal tayyar kiya ja sake.

Haasil-e-bahas:

Islam aik wahid aisa mazhab hai, jo Deen bhi hai. Islam k andar yeh quwwat hai k yeh tamam mazaahib-e-aalim per ghaalib ajaye, magar shidat pasandi or dahshat gardi k zariye nahi balkay un kaamil Akhlaaqi taleemat se jo sirf deen-e-Islam ka khaasa hain. un Aqhlaaqi tamilaat ki badolat Islam k andar qawwi or darakhsan imkaanaat hain k woh tamam mazaahib ko apne sath le kr chal sake.

Baqa-e-bahmi ka tassawur aik wasee canvas ki surat hai, jis per dusre mazaahib k sath mil kar maholiyati aloodgi, global warming, mukhtalif insaani beemariyon, nasli ta'asub, aalmi na-insafi or masum logon k bejaa khoon-baha jaise mozooa'at ki akkasi ki ja sakti hai.

There is so much to add, but this roman Urdu typing is a bit annoying

Compiled by: Zahra
Reply With Quote
The Following 6 Users Say Thank You to xaara~hussain For This Useful Post:
ahmadmba215 (Thursday, January 27, 2011), Farrah Zafar (Friday, January 28, 2011), Hafiz Abubakar (Thursday, January 27, 2011), Humayun Khan (Thursday, January 27, 2011), mudasr (Sunday, January 30, 2011), Zahara Alvi (Saturday, January 29, 2011)
  #2  
Old Thursday, January 27, 2011
Humayun Khan's Avatar
Junior Member
 
Join Date: Jun 2009
Location: Peshawar
Posts: 22
Thanks: 35
Thanked 14 Times in 12 Posts
Humayun Khan is on a distinguished road
Default Good Work!!

You are right its a bit annoying..

But i think we can compensate for it by just reading the Headings and 3 or 4 bullet form points under each Heading... if and if you are comfortable with it... by doing so, the readers can get a little idea if not the whole plot of the thought!

Keep up the good work!!
__________________
I am Out of My Mind... Be Back in 5 Mins!!!
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Humayun Khan For This Useful Post:
xaara~hussain (Friday, January 28, 2011)
  #3  
Old Friday, January 28, 2011
xaara~hussain's Avatar
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2005
Location: Islamabad
Posts: 722
Thanks: 702
Thanked 852 Times in 370 Posts
xaara~hussain is a glorious beacon of lightxaara~hussain is a glorious beacon of lightxaara~hussain is a glorious beacon of lightxaara~hussain is a glorious beacon of lightxaara~hussain is a glorious beacon of light
Default

Quote:
Originally Posted by Humayun Khan View Post
You are right its a bit annoying..

But i think we can compensate for it by just reading the Headings and 3 or 4 bullet form points under each Heading... if and if you are comfortable with it... by doing so, the readers can get a little idea if not the whole plot of the thought!

Keep up the good work!!
yes thats a good idea. I will try solving out the technical questions if i get time
Reply With Quote
  #4  
Old Saturday, January 29, 2011
xaara~hussain's Avatar
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2005
Location: Islamabad
Posts: 722
Thanks: 702
Thanked 852 Times in 370 Posts
xaara~hussain is a glorious beacon of lightxaara~hussain is a glorious beacon of lightxaara~hussain is a glorious beacon of lightxaara~hussain is a glorious beacon of lightxaara~hussain is a glorious beacon of light
Default

Quote:
Originally Posted by Farrah Zafar View Post
@Xara same here.I also skipped Psycho and opted Sociology and Journalism.
Raat din Gardish mein hain saat aasmaan,
ho rahay ga kuch na kuch,ghabrayen kia..

@anaina My name is Farrah Zafar,what more you want to know,kindly tell.
Do pray for me. shivers of anxiety
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On



CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.