CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Literature (http://www.cssforum.com.pk/css-optional-subjects/group-v/urdu-literature/)
-   -   shaairi (http://www.cssforum.com.pk/css-optional-subjects/group-v/urdu-literature/41540-shaairi.html)

imranmalik Monday, December 06, 2010 07:36 PM

thats good
 
thanks dear
Masha Allah achhi hay apki tyari,
"dekheay kia guzray hay qatray pe gohar honay tak"!!!!!!!!!!!!!

imranmalik Monday, December 06, 2010 07:42 PM

last
 
aakhri vaalay ki bhi kar dena zara,if u feel well............

imranmalik Tuesday, December 07, 2010 06:39 PM

Time coincide
 
we become online at the same time

Farrah Zafar Tuesday, December 07, 2010 06:53 PM

meray nishaan e qadm.......taqdeer ka likha na raha
mujhe shaair ka nam nae pata or be'dara ka matlab b nae is liye mein sirf pehlay sher ki tashreeh ker rae hun.
tashreeh;
shaair ne zindagi mein sada takaleef ka samna he kia hai or khushi usay choo k b nae guzri..in pay dar pay ghamon ne usay itna nidhaal ker dia hai k usay her soo gham he nazer aatay hain.is sher mein wo apnay ghamon ki mustaqil mizaaji ki taraf ishara ker ra hai k mera dast e gham mein itna aana jana laga rehta tha k meray qadmon k nishaan sabt ho gye us raastay pe..
Zindagi jabr e musalsal ki tarah kaati hai,
janay kis jurm ki paayi hai saza yaad nae

shaair doosray misray mein apnay ghamon ki kasrat ka rona rotay hue kehta hai k mein tou aisa bad'naseeb hun k meri zindagi mein taqdeer ka bhi amal dakhal khatam ho gya hai...taqdeer k likha na rehnay se ye muraad hai k ager taqdeer ka meri zindagi pe koi aser hota tou ghamon k sath khushiyan bhi milteen mger yahan aisa koi silsala nae...baqol Meer;
"gham raha jab tak k dam mein dam raha"

dukh jhail jhail k shaair ka taqdeer per se emaan uth gya hai jabhi usay kisi khushi ki aas nae.sher hasrat o yaas ka moun bolta saboot hai baqol Ghalib;
kis se mehroomi e qismat ki shikayat kijiye,
ham ne chaha tha k mar jayen'so wo bhi na hua

imranmalik Tuesday, December 07, 2010 07:05 PM

be daraa
 
puraanay zamaanay me qaaflay chaltay thay,vo kaheen parhaao(stay) kartay thay,jab dobaara chalna hota tha to ak ghanti ya bagal ya awaz lagai jati thi jiska matlb hota tha k qaaflay ki ravangi ka wakt hay,us awaz ko daraa kehtay hn technically.
ok

imranmalik Wednesday, December 08, 2010 04:44 PM

after it i ll use this forum rarely,if any update about urdu plz inform me.like guess or any helping thing in paper.
i know u as single urdu fellow


02:41 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.