Sunday, June 09, 2024
12:13 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Humorous, Inspirational and General Stuff

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Wednesday, April 11, 2007
Junior Member
 
Join Date: May 2006
Location: Utopia
Posts: 27
Thanks: 0
Thanked 6 Times in 2 Posts
The Iconoclast is on a distinguished road
Wink Aasman(Ibn e Insha)

zara aasman ki taraf nazar otha kar deikho..kitna ooncha hai yehi wajah hai ke koyee is se girey tu bohat choat aati hai..baaz log aasman se girtey hain tu khajoor mein atak jaatey hain..na neeche otar saktey hain na dobarah aasman par charrh saktey hain..waheen beithe khajorein khaatey rehtey hain

kehtey hain pehle zamane mein aasman itna ooncha nahi hota tha..Ghalib naam ka shaaeir jo 100 saal pehle hwa hai..eik jagah kisi se kehta hai..kia aasman ke bhi baraber nahi hoon mein

joon joon cheezon ki qeemtein oper hoti gaein aasman un se baatein karne ke leiy oper oth-ta chala gia..

eik zamane mein aasman par sirf farishtey raha kartey thai..phir hama shuma jaaney lagey..jo khud nahi ja saktey thai un ka dimaagh chala jata tha yeh neeche zameen par dimaagh ke bagheir hi kaam chalatey thai

pyyarey barro!! raah chaltey mein aasman ki taraf nahi deikhna chaeiy taakey thoker na lagey jo zameen ki taraf deikh kar chalta hai us ke thoker nahi lagti
__________________
If you can dream it, you can do it.
Reply With Quote
  #2  
Old Wednesday, April 11, 2007
Junior Member
 
Join Date: May 2006
Location: Utopia
Posts: 27
Thanks: 0
Thanked 6 Times in 2 Posts
The Iconoclast is on a distinguished road
Default

Wasif ali Wasif

Kamiyabi aik khubsoorat titli hai jis kay taaqub mai insaan buhat door nikal jata hai. Apno sey door..apni haqeeqat sey door..apni basaat sey bahir..apnay jaamay sey nikal jata hai...Aksar aoqat woh kamiyabi ki sarmasti mai apni aaqbat barbaad ker deta hai.


khush naseeb wo hae ...jo apnay naseeb per khush rehay
__________________
If you can dream it, you can do it.

Last edited by The Iconoclast; Wednesday, April 11, 2007 at 11:59 PM.
Reply With Quote
  #3  
Old Thursday, April 12, 2007
Junior Member
 
Join Date: May 2006
Location: Utopia
Posts: 27
Thanks: 0
Thanked 6 Times in 2 Posts
The Iconoclast is on a distinguished road
Default

Wasif Ali Wasif


"Waqt Zaya karnay ka khoobsurat tareeqa yehi hai k ek na-maaloom ho, mohoom lekin haseen mustaqbil ka intezar kiya jaye. Khwaboan k khoobsurat ayeenoan main nazaaray dekhay jayen... Lekin jab haqaayeq pe nazar paray to tlism khatm ho jaye, Ayeenay reza reza ho jayen aur khoobsurat khwab ek bhayanak taabeer de k rukhsat ho jaye. Waqt ki mehnat, Umr ki kamai, Waqt hi barbaad kar day"
----------------------------------
"bewee bhi ajeeb makhlooq hae,shohar ko ghulam bana ker rakhna chahtee hae aur aek ghulam ki bewee kehlana pasand kartee hae......jabkay...agar wo khawand ko dayota bana lay to khud-b-khud devee ban jae".
__________________
If you can dream it, you can do it.
Reply With Quote
  #4  
Old Saturday, April 14, 2007
At Ur Own Risk's Avatar
Member
 
Join Date: Dec 2006
Location: Global Village in the day: Moon in the night
Posts: 97
Thanks: 6
Thanked 19 Times in 13 Posts
At Ur Own Risk is on a distinguished road
Default

Very nice Iconoclast
I love Ibn-e-Insha's poetry and prose
Good shot


Aik chota sa larka tha main jin dinoon
aik mailay main pohuncha humakta howa
ji machalta tha aik aik shay par magar
jaib khali thee kuch moal lay na saka
laut aya liyay hasratain sainkroon
aik chota sa larka tha main jin dinoon

khair mehroomioon kay wo din to gaiy
aaj maila laga hai isi shan say
aaj chahoon to aik aik dukaan moal loon
aaj chahoon to sara jahan moal loon
naarasai ka ji main dharka kahan?
par wo chota sa, alhar sa larka kahan?


Ibn-e-Insha
__________________
Long, long afterward, in an oak
I found the arrow, still unbroke;
And the song, from beginning to end,
I found again in the heart of a friend
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Remembering Insha G today! AmBrosiaL EloQuence Urdu Poetry 14 Wednesday, October 14, 2009 10:16 PM
Yeh baatein jhooti batein hain The Star Urdu Poetry 0 Wednesday, January 14, 2009 04:07 PM
Islamic Stories Silent Spectator Islam 12 Wednesday, August 20, 2008 12:44 AM
Tu Insha hai, tu Insha hoo Last Island Urdu Poetry 0 Thursday, January 18, 2007 03:44 AM
Insha Ji rubab umer khan Urdu Poetry 0 Sunday, February 19, 2006 11:50 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.