Monday, April 29, 2024
08:19 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Islam

Islam Invite to the Way of your Lord with wisdom and fair preaching, and argue with them in a way that is better. Truly, your Lord knows best who has gone astray from His Path, and He is the Best Aware of those who are guided." Holy Qur'an 16:125

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Sunday, August 23, 2009
sara soomro's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: pakistan
Posts: 808
Thanks: 232
Thanked 1,099 Times in 496 Posts
sara soomro has a spectacular aura aboutsara soomro has a spectacular aura about
Default Collection of Dua’s.

ye sub wo duayan han jo Hazrat Muhammad(saw) ny khud Allah se ki thien.



“Ae Allah mein teri naemat k chlay janay se,teri di hui ahfiyat k hut janay se aur teri achanak paker se aur teri her tara ki narazgi se panha chahta hon”

• “Ae Allah!ajazi,kahili,buzdili,kanjusi,ranj-o-gham aur azaab-e-qaber se teri panha chahta hon,Ae Allah meray nafs ko taqwa ata ferma aur esay pak saaf kr day tu hi es ko pak saaf krnay wala aur tu hi es ka malik aur Aaka hy,ae Allah mein teri panha chahta hon uss ilum se jo nafa na day aur uss dil se jis me khush-o-khozoo na ho aur herees nafas se jo kabhi bhi sair(satisfy) na ho aur uss dua se jo qabool na ho”.

• “Ae Allah !aag k fitnay se,aag k azaab se aur maldari aur faqiri k shur se teri panha chahta hon”.

• “Ae Allah mein buray ikhlaq aur aamal se aur buri nafsani khawahishaat se teri panha chahta hon”

• “Ae Allah mein aapus k jhagray,fasaad,nafaaq,aur buray ikhlaq se teri panha chahta hon”

• Ae dilon ko palatnay walay meray dil ko deen per jamaye rukh”

• Ae Allah mein tujh se hidayaat,taqwa,pakdamni, aur dil ka chain manghta hon”

• “Ae islam k wali aur islam walon k madadgar!mujhey apni mulaqat k waqat tak yahni maot tak islam ki rah per jamaye rukh”

• Ae Allah mein tujh se pakiza cheezain apnanay aur munkayraat ko chohrnay ki himmat manghta hon aur maskino ki mohabat manghta hon aur ye bhi manghta hon k tu meri toba qabool ferma aur ye bhi k ager tu kisi waqat apnay bundon ko ahzmaish me dalna chahay tu mujhey es ahzmahish me dalay baghar apnay pass bula lay”

• “Ae Allah mein aajiz ho janay se,kahili se,buzdili se,zayada boorha ho janay se aur hazaab-e-qaber se teri panha chahta hon aur zindagi aur mout k fitnay se aur aik riwayat me hy k qarz k bojh se aur logon k ghalbay se aur dabao se teri panha chahta hon”

• “Ae Allah me tujh se her qisum ki khair jald anay wali bhi,dahr se anay wali bhi,jo mein janta hon wo bhi aur jo mein nahi janta wo bhi manghta hon aur her qisum k shur se teri panha chahta hon chahay wo shur jald anay wala ho,dahr se anay wala ho,mein usaey janta hon yah na janta hon aur mein tujh se jannat aur her uss qaul-o-fehl ki tofiq manghta hon jo jannat k qareeb kray aur her uss qaul-o-fehl se teri panha manghta hon jo dozukh k qareeb kray aur mein tujh se her wo cheez manghta hon jo tujh se teray bunday aur rasool Hazrat Muhammad(saw) ny manghi aur her uss cheez se panha manghta hon jis se teray bunday aur rasool Hazrat Muhammad(saw) ny panha manghi aur mein tujh se her uss baat ka sawaal krta hon k jis ammer ka tu meray liay faisla kray uss ka unjaam maray leeay acha ker day”

• “Ae Allah maney ab tak jo kiya uss k shur se bhi apni panha me rukh aur jo maney nahi kiya uss k shur se bhi apni panha me rukh”


• Ae Allah buray din se,buri raat se,buri ghari(moment)se,buray sathi se aur buray perrosi(neighbour) se teri panha chahta hon”

• Hazrat Abu Imama fermatay han k aik mertaba Hazoor(saw) ny bahut zayada dua manghi lakin hum sub ko uss me se kuch yaad na raha.hum ny arz kiya ya Rasool Allah(saw) aap ny bahut zayada duayan manghi lakin hum ko uss me se kuch bhi yaad na raha Hazoor(saw) ny fermaya kiya mein tum ko koi esi jamay dua na bata don jis me ye sub kuch ah jaye, tum ye dua mangha kro.

“Ae Allah hum tujh se wo tamam bhalahiyan manghtay han jo teray nabi ny tujh se mangheen aur un sub cheezon se teri panha manghtay han jin se teray nabi ny panha manghi aur tu hi wohi zaat hy jis se maddad manghi jati hy aur hum ko maqsad tak ponchana teray fazal se teray hi zimay hy,burahiyon se buchnay ki taqat aur nakiyan krnay ki qowat teri tofiq se hi milti hy”.

Kiya Duayon se lumbi zindagi hasil ki ja sakti hy?
Nabi(saw) ny fermaya.
“Dua se taqdeer bhi badal sakti hy”.
Nabi(saw) ny Hazrat Ans(razi Allah taala un ho)k liay dua ki thi Ae Allah Ans k maal me,uski zindagi me aur aulaad me berkaat dal day tu es k bahd un ki umer itni hui that unhon ny apni aulad ki aulad jo khud sahibay aulad thay un ko dufnaya aur un ki aulad ki tadaad bhi bahut zayada thi aur baki sub log saal me 1 faasal uthatay thay lakin Hazrat Ans saal me 2 fasalain uthatay thay.phir wo khuda se fermanay lugay Ae khuda ab mujhey sharum ati hy tu mujhey apnay pass bula lay.
__________________
Kami kis shae ki hai tere khazaane me mere Allah
Jhukaa ke sar jo maangun teri rehmat mil hi jaaegi...
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to sara soomro For This Useful Post:
rubPzai (Saturday, September 05, 2009)
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Statistics and Probability obaidkhan Statistics 3 Friday, August 23, 2013 02:51 PM
Mughal Land Revenue System The Star History of Pakistan & India 4 Friday, June 03, 2011 08:22 PM
Paulo Coehlo collection.. Shaa-Baaz References and Recommendations 1 Sunday, October 05, 2008 05:31 PM
A breif history about Museum Muhammad Adnan General Knowledge, Quizzes, IQ Tests 4 Friday, February 16, 2007 05:01 PM
Pakistan: Economic Progress sibgakhan Pakistan Affairs 186 Wednesday, April 05, 2006 02:10 AM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.