CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Off Topic Lounge (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/off-topic-lounge/)
-   -   "AUR" aur Insaan (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/off-topic-lounge/58267-aur-aur-insaan.html)

Princess Royal Thursday, December 22, 2011 07:02 PM

"AUR" aur Insaan
 
[FONT="Palatino Linotype"][SIZE="4"][COLOR="DarkRed"][B]Kis shay ki tujhey hawas hay aye dil
Qudrat teri hum nafs hai aye dil[/B][/COLOR][/SIZE][/FONT]

Kiya yeh baat hamaray liye samjhna buhat mushkil hai? Kiya hamaray liye yeh kaafi nahi kay hamara Khuda, hamara Rab hamaisha hamaray saath hai. Woh kay jis ke saath hamari rouh wabasta hai, Woh kay jisne puri qainat hamaray liye banadi. Jaisay ke Iqbal yeh bhi kehtay hain:

[FONT="Palatino Linotype"][SIZE="4"][COLOR="DarkRed"][B]Na tou zameen ke liye hai na asmaan ke liye
Jahan hai teray liye tou nahi jahan ke liye
[/B][/COLOR][/SIZE][/FONT]
Es saab ke bawajood bhi kyun hum aksar auqaat na-shukaray ho jatay hain? Kyun har waqt hamein "AUR" ki talaash rehti hai? Jo hai, us mein khusi kyun nahi hain? Yeh es "AUR" ki he nawazish hai kay insaan khud say bhi dour ho jata hai. Aur yeh "AUR" ki he HAWAS masharay kay buhat say masail ki jarh hai.

Jo ashaar upar hain(basically jo un mein baat hai), kiya hum unhein khud ko rozana yaad dila ker es "AUR" ki hawas ko khatum nahi ker sakhtay? Kitni pur sakoon bun jaye gi zindagi, aur kitna pur sakoon mashara.

Haqeeqat "AUR" mein nahi hai, haqeeqat say tou hum buhat dour hain :excl:

ishaali Thursday, December 22, 2011 07:18 PM

u r right dear but all the css aspirants are doing css only for this "AUR" MEANS MORE N MORE.

prestigious Thursday, December 22, 2011 07:52 PM

[B][COLOR="DarkGreen"]Well said PR sis...Is "aor" ne is dunya ke insaano ka sakoon cheen lia hae...

Insaan ka dil tab tak nhi bartha jab tha khaak na hojae...

We always comparing ourselves with other people who are good in prestige than us and think that they are lucky and we are unfortunate... But in real we don't know the true story of those people and most of the time, they are in much more terrible and worst situation than us...

The real things are the peace of mind and heart and that comes with worships and shukar... The food of body is food similarly the food of soul is the worship of Almighty Allah...

[SIZE="4"][COLOR="Olive"]PR sis:[/COLOR][/SIZE] Nice topic but please tell us what is the background story of sharing such topic... Any special incident... Please do share... :)[/COLOR][/B]

Ali Ahmad Syed Thursday, December 22, 2011 08:05 PM

A rare discussion in this era of materialism.:)

Is "aur" ki hawas ko khatam karna asaan nai ha. Jis ne iz "aur" ko address kar lia aur qaboo main kar lia, os ne insaaniat ki mehraaj paa li, aur insaaniat ki mehraaj ko paana bhoot mushkil ha aur yahee wo level ha jahan insaan firashtoon se behtar banta ha. Apne nafs se larna aur qaboo me karna he tu asal maqsad ha insaan ki takhleeq ka. Issi leay nafas se larne ko Jehad-e-akbar ka naam dia gia ha.

Mein aksar Surah Takassar pe ghoor kartan hoon aur apne samait almost sab ko osi kafiat mein paata hon, Mafhoom alha-kum takassar:

[COLOR="DarkSlateBlue"][SIZE="4"][FONT="Trebuchet MS"]Aur kasrat ki hawas ne on ko andha kar dia, yahan tak k wo apni kabroon tak ja ponchay. [/FONT][/SIZE][/COLOR]

prestigious Friday, December 23, 2011 03:06 PM

[QUOTE=prestigious;388683]

[SIZE="4"][COLOR="Olive"]PR sis:[/COLOR][/SIZE] Nice topic but please tell us what is the background story of sharing such topic... Any special incident... Please do share... :)[/QUOTE]
[COLOR="DarkGreen"][B]Didn't respond...
Itna gharoor tho chand ko bi nhi jitna aap ko... :p[/B][/COLOR]

Princess Royal Friday, December 23, 2011 07:31 PM

[B][COLOR="DarkGreen"]@ PRESTIGIOUS[/COLOR][/B]

[QUOTE]The real things are the peace of mind and heart and that comes with worships and shukar... The food of body is food similarly the food of soul is the worship of Almighty Allah...[/QUOTE]

Exactly! However, there are many people who pray 5 daily prayers, fast, and do all other acts of worshiping yet they are not in peace, not content. Some where inside they are unsatisfied and still look for "AUR". I believe that's because the DIVINE element is missing. Most of us do not submit ourselves wholly to the Lord while worshiping. Simple example, rushing through prayer because it's time for some drama, perhaps HUMSAFAR :pp.

[QUOTE]Didn't respond...
Itna gharoor tho chand ko bi nhi jitna aap ko... :p[/QUOTE]

Hum gharoor kernay waloon mein say hotay tou aaj kuch aur he hotay.

[B][COLOR="DarkGreen"]@ ALI AHMED SYED[/COLOR][/B]

Buhat khoob kaha aap ne. Per es "AUR" ki hawas ko khatum kerne ka koi tou tareeqa hoga? Like HAQEEQAT say agahi. Jab humein apne honay ka maqsad samjh lag jaye, tou phir "AUR" ki hawas bhi nahi rehti I believe. Saab say bara masla yeh hai ke ird gird sirf jhoot he hai. Humnay apnay zindagi kay maqsad materialistic bana liye hain. Sou, unko badalna lazim hai. Khud-agahi ki zaroorat hai. Zindagi ko materialistic level say upar dekhnay ki zaroorat hai. Aur es baat ko philanay ki bhi zaroorat hai. Hamari roozmara ki guftagu mein yeh saab shamil hona chahiye. Tabhi loog aur ki hawas ko nikal paein gay.

Ali Ahmad Syed Friday, December 23, 2011 09:00 PM

@Princess Royal
Agreed, but I have a question in mind. A question to myself, a question to everyone who is on a quest for self-recognition. Am I ready to put myself on trial? Are we ready?

Matlab yeh ha k kia hum apna mal-o-asbaab, apna aap Allah k leay sacrifice karne ko tayyar ain. Hum apni is quest ko material cheezon pe fooqiat daine ko tayyar ain, jawab nai mein mile ga. Humain apna future aziz ha, khud thoray settle hote ain tu bachoon ka future bananay mein lag jate ain. Bache ko English far far aani chaeey, apni aur Allah ki pehchaan ho ya na ho, Deen ka ilm ho ya na ho koi farq nai parta. Aisa bacha bara ho k "hal min mazeed" ki sadda he lage ga, wo kabi apne aap ko pehchan ki koshish nai kare ga. Aaj humaray kai khuda ain, future, biradari, loug, paisa, aulaad, watan, and a long list. Agar kisi pe barosha nai ha tu wo Allah ha. Humin apne Allah pe bharosa nai ha:excl: Yahee asal sawal ha jis ko address karne ki zaroorat ha. Tammam materialism k botoon ko toor k apne aap ko Allah k saamne paish karne ki zaroorat ha k han Aap humaray Rab ain. Yum-e-alst k iqraar ko zinda karne ki zaroorat ha.

Zoyee Friday, December 23, 2011 09:10 PM

[B][COLOR="DarkOrange"]@ PR

es [B][COLOR="Sienna"]Aur[/COLOR][/B] kee hawas aur Nashukari ka jawab sirf es aik jumlay me he hay hamary leye kay...[/COLOR] [/B]

[COLOR="Sienna"][B]"Jab tumhari dua foran qabul na ho tu na shukari na kero balkay shukar kero kay Allah tumharay gunahon per foran nahi pakarta"[/B]

[B]Regards,[/B][/COLOR]

Princess Royal Saturday, December 24, 2011 09:47 PM

[COLOR="DarkGreen"][B]@ PRESTIGIOUS[/B][/COLOR]

Pichli baar yaad he nahi raha kehna. Khair, koi khaas background nahi hai. Meray demaagh mein kuch na kuch chalta rehta hai aur jab kuch buhat intense ho jaye tou mein kahin na kahin keh dayti hoon. Es baar forum per keh diya.

[COLOR="DarkGreen"][B]@ ALI[/B][/COLOR]

Jo aap ne kahan bilqul daroost kaha. Allah pe bharosay say kuch yaad aya: kisi say ek mertaba suna tha kay jab musibat kay waqt Allah per itna bharosa kerlo kay yakeen ho saab theek he ho ga tou Khuda us banday ko kabhi mayoos nahi kerta aur woh es liye kyun ke jab Woh yeh dekhta hai kay uska banda us per kitna bharosa kerta hai tou Woh usko kabhi mayoos ker he nahi sakhta kyun ke woh uska Rab hai. Allah ki rah per hum ek qadam lein gay tou woh sou darwaazay khol day ga. En batoon per yaqeen hona chahiye aur enko hamein apnay andar itnay door tak rekhna chahiye kay aur kisi cheez ki jagha he na rahay ;). Abhi kuch haftay pehlay mein ne ek 17-18 salaan ladkay ki death ka sunna. Yeh woh umr hai kay jis ko kaha jata hai "abhi umr he kiya hai". Infact, ab tou usually jawaan logoon ki death ka he sunnay mein ata hai. Tou jab "umr nahi" waloon ki umr ka koi bharosa nahi tou baakiyon ki kiya guarantee hai? Kiya milay ga duniya ki fiqar kernay say? Agar abhi bethay bethay mein upar pohanch jaon tou meray jawaab kon day ga? Loog tou nahi ayein gay meray liye asaani paida kerne. Maana kay yeh saab asaan nahi, khud ko bhi badalna asaan nahi, per "nai" ko "haan" kehnay ki zaroorat hai sirf. Aur phir jis ka saath Allah dey dey, loog aur duniya kiya kerlay gay uska :). Bus thoray say positive nazariye ki zaroorat hai aur mazboot imaan ki.

Jaisa kay angraiz bhi kehtay hain kay jo universe mein send karon gay wohi wapis aye ga, aur jis cheez ko apnay andar buhat basa lo ek yaqeen kay saath phir woh haqeeqat bun he jaati hai.

Arain007 Saturday, December 24, 2011 10:04 PM

[QUOTE=Princess Royal;389279]Bus thoray say positive nazariye ki zaroorat hai aur mazboot imaan ki.
[/QUOTE]

You are right. Jb bnday ka emaan mazboot ho ga tu phir wo dunya ki fikar sy azaad ho kr Akhrat ko sanwarnay ka sochay ga. Aur phir wo shakhs Akhrat k faiday k liay aur ziada koshish kry ga. Aik hadees ka mafhoom hy:

"Allah ki nazar main Dunya ki haisiat aik marri hui aur badbodaar bakri k aik ganday baal sy ziada nhi hy."

Agr hm sb bhi Dunya ko is nazar sy dekhain tu phir hm Akhrat main Kamyaab hn gy. Aur dunya k peechay bhagnay aur "AUR" ki khawahish nhi krain gy.


08:29 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.