CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Aara-e-sh-e-kheyal bhi ho dil_kushaa bhii ho (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/10909-aara-e-sh-e-kheyal-bhi-ho-dil_kushaa-bhii-ho.html)

Muskan Ghuman Saturday, July 07, 2007 12:57 AM

Aara-e-sh-e-kheyal bhi ho dil_kushaa bhii ho
 
[B][COLOR="Purple"]Aara-e-sh-e-kheyal bhi ho dil_kushaa bhii ho
Wo dard ab kahaan jisy jii chahata bhii ho

Yai kyia ke roz ek saa Gam ek sii Ummeed
Iss ranj-e-bekhumaar kii ab intuha bhii ho

Yai kyia ke ek taur sai guzarey tamaam umar
Jii chahata hai ab koi terey sivaa bhii ho

Tutey kabhi to Khwab-e-shab-o-roz kaa tilism
Itaney hujoom mai koi chehara nayaa bhii ho

Deevangi-e-shauq ko yai dhun hai in dino.n
Ghar bhii ho aur bai-dar-o-deewar saa bhii ho

Juz dil koi makaan nahin dahar mai jaha.n
Rahzan kaa khauf bhii na rahey dar khulaa bhii ho

Har zarra ek mahamil-e-ibrat hai dasht kaa
Lakin kisey dikhau.N koi dekhata bhii ho

Har shay pukarati hai pas-e-pardaa-e-sakoot
Lakin kisey sunau.N koi ham-nava bhii ho

Fursat mai sun shaguftagi-e-Gunchaa kii sadaa
Yai wo sukhan nahin jo kisii ne kahaa bhii ho [/COLOR][/B]


02:43 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.