#1
|
||||
|
||||
■~Bhurapa~■
jab jaanna waqt ki qeemat ko tab waqt ganwaye baithey hain jab apni zaat ko pehchana tab umer beetaye baithey hain shabbaab mein jitni taaqat thi ab utney hi hum laghar hain gharroor se bhara samander they ab mayusi ka saagar hain ek toota phoota bister hai aur phati puraani chaadar hai taqdeer hamari ab tak bhi samajhti hamein bahadaur hai ye kia jaaney keh such hai kia kahani kia hamari hai batayen kia burhapey ka yeh az khud ek beemari hai hai ham pe kia ab beet rahi yeh munh se keh nahi saktey burhapey ki ye bimari sada hum seh nahi saktey |
|
|