CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Na tujhey mileen na mujhey mileen (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/15931-na-tujhey-mileen-na-mujhey-mileen.html)

Last Island Wednesday, February 06, 2008 05:15 PM

Na tujhey mileen na mujhey mileen
 
[FONT=Palatino Linotype][SIZE=4][I][COLOR=Navy]Aasmaan sey inaayatain na tujhey mileen na mujhey mileen
Mohabbaton sey raahatein na tujhey mileen na mujhey mileen[/COLOR][/I][/SIZE][/FONT]

[FONT=Palatino Linotype][SIZE=4][I][COLOR=Navy]Hamein aashiqi mein sach mila hamein zindagi mein sab mila
Magar be’wafaai ki aadatein na tujhey mileen na mujhey mileen[/COLOR][/I][/SIZE][/FONT]

[FONT=Palatino Linotype][SIZE=4][I][COLOR=Navy]Udhar tu dua mein laga raha idhar mein dua mein laga raha
Par mannaton sey haajatein na tujhey mileen na mujhey mileen[/COLOR][/I][/SIZE][/FONT]

[FONT=Palatino Linotype][SIZE=4][I][COLOR=Navy]Thi aarzu kabhi saahilon pe terey saath saath hum chal sakein
Par samandaron sey ijazatein na tujhey mileen na mujhey mileen[/COLOR][/I][/SIZE][/FONT]

[FONT=Palatino Linotype][SIZE=4][I][COLOR=Navy]Jis zindagi ki khaahishon mein so rat’jagon mein sajood keeye
Us zindagi ki bashaaratein na tujhey mileen na mujhey mileen[/COLOR][/I][/SIZE][/FONT]

[FONT=Palatino Linotype][SIZE=4][I][COLOR=Navy]Hasraton ke deeyon ko aag kabhi tu ney di kabhi mein ney di
Magar roshni ki alaamatein na tujhey mileen na mujhey mileen[/COLOR][/I][/SIZE][/FONT]

[FONT=Palatino Linotype][SIZE=4][I][COLOR=Navy]Na to terey dard rukey kaheen na merey zakhm bharey kabhi[/COLOR][/I][/SIZE][/FONT]
[FONT=Palatino Linotype][SIZE=4][I][COLOR=Navy]Sabar-o-shukar ki haalatein na tujhey mileen na mujhey mileen[/COLOR][/I][/SIZE][/FONT]

[FONT=Palatino Linotype][SIZE=4][I][COLOR=Navy]Teri manzilein kahein aur thein meri manzilein kahein aur thein
Kisi aek simt ki musafatein na tujhey mileen na mujhey mileen[/COLOR][/I][/SIZE][/FONT]

[FONT=Palatino Linotype][SIZE=4][I][COLOR=Navy]Tu thethar gaya kisi aur ke ghar mein ruk gaya kisi aur ke dar
Man-pasand si chaahatein na tujhey mileen na mujhey mileen[/COLOR][/I][/SIZE][/FONT]

[FONT=Palatino Linotype][SIZE=4][I][COLOR=Navy]Hamaari pur’khaloos neeyaton sey manzilein kyun chin gaein!
Muqaddaron sey wazahatein na tujhey mileen na mujhey mileen[/COLOR][/I][/SIZE][/FONT]

Jani Abro Wednesday, February 06, 2008 09:02 PM

Rakh ke dher mein dabi hui ek chingari hai,
Sulagte hue armaanon ki tiis abhi jaari hai.

Zakhm the kabhi jo aaj naasur ban gaye,
Un rishton ki kaid mein zindagi bechari hai..

Khushnasibi hai ki muhabbat men dard hi mila,
Varna to is sailaab mein bahti duniya saari hai..

Apni jeet ka aalam ki dil bhi haar gaye unse,
Ab to bas taqdeer se bhi haarne ki baari hai..

Saahilon ke pas hi milte hain sailaab aksar,
Tufaanon ke dar se kashti gahre paani mein utaari hai..

Dil ke kahne mein na aana, dil to naadan hai,
Itne par bhi hai un per fida, khata yeh hamaari hai...


04:16 PM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.