♪♪ shahr-e-tammanna ♪♪
[CENTER][B][SIZE="4"][FONT="Comic Sans MS"][COLOR="Purple"]kaise kahoon ke aaina hairaan bhi na thaa
mera hi chehra khud meri pehchaan bhi na thaa koi gunah ker ke pashemaan bhi na thaa baqshish ka uske paas yeh samaan bhi na thaa main inteqaam waqt se leta to kistarah haathoun main mere uska garaibaan bhi na thaa yeh bhi ghalat nahi ke woh anjaan tha magar yeh bhi durust hai ki woh anjaan bhi na thaa yun bhi guzar gayi hai hamari tere baghair dil mutmaeen na thaa to pareshaan bhi na thaa dil uska dard-o-hasarat-o-gham ka mazaar thaa itna to koi be saro samaan bhi na t haa yeh aur baat hai ke wafa darmiyaan thee warna tumhari bazam ka armaan bhi na thaa loot-e- gaye hain shahr-e-tammanna main hum lutne ka jis muqaam per imkaan bhi na thaa [/COLOR][/FONT][/SIZE][/B][/CENTER] [B][CENTER][SIZE="4"][FONT="Comic Sans MS"][COLOR="Blue"]ek woh shaqs jisko ke dekha na tha usko sochainge itna yeh socha na tha hum ne sahil pe lakar doboya use woh safina jo toofan main dooba na tha umr bhar chashm e tar khoon roti rahi khushk ho jaye aisa yeh darya na tha aaina khane bhi sazishi ban gaye sab ke chehre the mera hi chehra na tha kis qadar zabt e gham se giraanbaar tha ek aansoo jo palkoon se tapka na tha phir bhi tujh tak pohnchne main barsoon lage faasla yun to itna ziyaada na tha jo aaj ashaar main dhal gaya josh jazbaat ka tha woh darya na tha[/COLOR][/FONT][/SIZE][/CENTER][/B] |
04:01 AM (GMT +5) |
vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.