#1
|
||||
|
||||
Zammen huno
Agarchay ab zameen hon kay kabhi aasman tha main
Toot kay bikhar chuka hon magar kabhi chitaan tha main Roshni ki arzooain thain magar kuch aisa wiran tha main Gali kay aakri siray par sab say tareek makan tha main Kushboo ka rafeek tha phoolon ka razdan tha main Magar ab kay to bahar rotoon main bhi banjar khizaan tha main Kisi dashat ki nazar ho chuka koi karwan tha main Bay noor sitaraon ka ujra ajab kahkashan tha main Hawaoon say dostiyon ka shook tha magar natwan tha main Jo kashti ki tabahi ka sabab tha wo badnaseeb badbaan tha main Bazmay yar main tanha baitha bohat hiraan tha main Wo zindagi thi mairi aur kal tak us ki jaan tha main Wafai hazaar dukh ki talkiyaan, warna aisa kahan tha main Bohat naram go tha, bohat shireen zaban tha main |
|
|