Hamain khabar hai tamam dukh hai
[FONT=Book Antiqua][COLOR=Black][SIZE=3]Hamain khabar hai tamam dukh hai
Yeh zindagi ko aasmanoon ki wus’satoon say Hazar sadiyoon say mil raha ha i… payam dukh hai Jo karzar-e-zawaal hasti Ko, dhoop chaoon Ki Ahatoon say chala raha hai… nizaam dukh hai Sehar to ik mukhtasir sa ghum hai, Taweel din ki hawailioon kay, Jo rastoon main thehar gai hai Wo shaam dukh hai, yeh shaam dukh hai Kay iski sheh par kai dinoon say Musafiran-e-abd ka aisay firaq asaar rastoon par Safar to khair ik almiyah hai, qayam dukh hai Hamain khabar hai, tamaam dukh hai Yeh aas dukh hai, niraas dukh hai Udasioon ka libaas dukh hai Yeh tishnagi jo azaab bun kar thehar gai hai Badan kay boseeda sahilon par To iska ehd-e-dawaam dukh hai Yeh shor karti hawa ka sara kharaam dukh hai Hamain khabar hai tamaam dukh hai Yeh tum muhabbat nibahtay ho, To is muhabbat ka naam dukh hai Yeh wasl mausam jo ik musalsal zaabta hai To is rafaqat ka naam dukh hai Aur aisi wehshat numa fiza main Khamoosh rehna bhi ik saza hai Magar kisi say kalaam dukh hai.. Hamain khabar hai ... tamaam dukh hai[/SIZE][/COLOR][/FONT] |
11:59 PM (GMT +5) |
vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.