#1
|
||||
|
||||
Chahat Ka Safar!
main nay iss tor say chaha tujhay aksar jana
jaisay mehtab ko bayant samandar chahay jaisay soraj ki kiran seep k dil main utray jaisay khushbu ko hawa rang say hat kar chahay jaisay pathar k kalaijay say kiran phootti hai jaisay gunchay kilay mosam say hina mangtay hain jaisay khawabon main khiyallon ki kama totti hai jaisay barish ki dua abla pa mangtay hain mera her khawab meray sach ki gawahi day ga wosat-e-deed nay tujh say teri khawahish ki hai meri sochon mian kabhi daikh sarapa apna main nay dunya say alag teri parastish ki hai khawahish-e-deed ka mosam kabhi dhundla jo howa noch dali hain zamanon ki nakabain main nay teri palkon pay utarti howi subhon k liye tor dali hain sitaron ki tanabain main nay main nay chaha k teray hussan ki gulnar fiza meri gazlon ki kitaron say mahakti jaye tay to ye tha k sajata rahay lafzon k kanwal meray khamosh khiyalon main takalum tera raks kerta rahay, bharta rahay,khushbu ka khumar meri khawahish k jaziron main tabasum tera tu magar ajnabi mahol ki perwarda kiran meri bojti howi raaton ko sehar kar na saki teri sansoon main meesai thi, lakin tu bhee chara-e-zakham-e-gum-e-deeda ter ho na saki tujh ko ahsaas hi kab hai k kisi dard ka daag ankh say dil main utar jaye tu kiya hota hai? tu k seemab tabiyat hai, tujhay kiya maloom mosam-e-hijar thehar jaye tu kiya hota hai tu nay us mor pay tora hai talok k jahan daikh sakta nahi koi bhee palat kar jana abb ye alam hai k ankhain jo khulain gi apni yaad aye ga teri deed ka manzar jana mujh say mangay ga teray ehday muhabbat ka hisab teray hijran ka daihakta howa mehshar jana yon meray dil k barabar tera gum aya hai jaisay sheeshay k mukabil koi pathar jana! |
|
|
Similar Threads | ||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Safar | The Star | Urdu Poetry | 0 | Wednesday, April 01, 2009 11:34 PM |
Teri chahat mein hum...... | Princess Royal | Urdu Poetry | 0 | Tuesday, July 22, 2008 07:43 PM |
Ajab mousam thay chahat kay | Sureshlasi | Urdu Poetry | 0 | Tuesday, September 11, 2007 04:20 PM |
Safar Tanha nahi kertay | fatima khan | Urdu Poetry | 0 | Wednesday, December 06, 2006 11:57 PM |