Thursday, May 02, 2024
06:35 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Tuesday, May 07, 2013
Amna's Avatar
Super Moderator
Moderator: Ribbon awarded to moderators of the forum - Issue reason: Best Moderator Award: Awarded for censoring all swearing and keeping posts in order. - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: Aug 2005
Location: Desert of Dream
Posts: 2,926
Thanks: 446
Thanked 1,987 Times in 1,041 Posts
Amna has much to be proud ofAmna has much to be proud ofAmna has much to be proud ofAmna has much to be proud ofAmna has much to be proud ofAmna has much to be proud ofAmna has much to be proud ofAmna has much to be proud of
Default Gul hui jaati hai afsurdah sulagti hui shaam

Mozoo’-e-Sukhan


Gul hui jaati hai afsurdah sulagti hui shaam,
Dhul ke niklegi chasma’ee maahtaab se raat,
Aur mushtaaq nigaahon ki suni jaayegi,
Aur un haathon se mas honge, Yeh tarse hue haath.


Un ka aanchal hai keh rukhsaar keh pairaahan hai,
Kuch toh hai jis se hoti hai chilman rangeen,
Jaane us zulf ki mauhoom ghani chaaon me,
Timtimaata hai woh aaweezah abhi tak keh nahi.


Aaj phir husn-e-dil-aara ki wohi dhaj hogi,
Wohi khaabeeda si aankhen, Wohi kaajal ki lakeer,
Rang-e-rukhsaar pe halka sa woh ghaaze ka ghubaar,
Sandali haath pe dhundli si hina ki tehreer.


Apne afkaar ki, Ash’aar ki duniya hai yehi,
Jaan-e-mazmoon hai yehi, Shaahid-e-m’aana hai yehi,
Aaj tak surkh-o-siyaah sadiyon ke saaye ke tale,
Aadam-o-havva ki aulaad pe kya guzri hai?
Maut aur zeest ki rozaanah saf-aarai mein,

Hum pe kya guzregi, Ajdaad pe kya guzri hai?


In damakte hue shehron ki faraawaan makhlooq,
Kyun faqat marne ki hasrat mein jiya karti hai?
Yeh haseen khet, phata padta hai joban jin ka,

Kis liye in mein faqat bhook uga karti hai?


Yeh har ek simt par asraar kadi deewarein,
Jal bujhe jin mein hazaaron ki jawaani ke chiraagh,
Yeh har ik gaam peh un khaabon ki maqtal-gaahein,
Jin ke partoo se charaaghaan hain hazaaron ke dimaagh.


Yeh bhi hai, Aise kai aur bhi mazmoon honge,
Lekin us shokh ke aahista se khulte hue hont,
Haye! Us jism ke kam-bakht dil-aaweez khatoot,
Aap hi kahiye, kahin aise bhi afsoon honge?


Apna mozoo’-e-sukhan in ke siwa aur nahin,
Tab’-e-shaa’ir ka watan in ke siwa aur nahin
__________________
To succeed,look at things not as they are,but as they can be.:)

Last edited by Amna; Tuesday, May 07, 2013 at 05:55 PM.
Reply With Quote
The Following 4 Users Say Thank You to Amna For This Useful Post:
imranazeem (Friday, January 09, 2015), Last Island (Sunday, June 23, 2013), mani g (Tuesday, May 07, 2013), ~BraveHeart~ (Tuesday, May 07, 2013)
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Tune dekha hai kabhi ek nazar shaam ke baad Faryal Shah Urdu Poetry 1 Friday, September 05, 2008 10:28 PM
Magar maan jaati Last Island Urdu Poetry 0 Saturday, August 04, 2007 07:10 AM
Muhabbat mein aazmaeish nahein ki jaati Sureshlasi Urdu Poetry 0 Wednesday, July 11, 2007 09:13 PM
Aankh ban jaati hai saawan ki ghataa Waseemtabish Urdu Poetry 0 Friday, May 11, 2007 12:16 PM
Ye shaam shaam zindagi...........!! Last Island Urdu Poetry 0 Thursday, January 18, 2007 05:10 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.