CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Insha naam ka deewana (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/423-insha-naam-ka-deewana.html)

Last Island Thursday, July 07, 2005 08:15 AM

Insha naam ka deewana
 
[B]Iss Basti ke Ik koochey mein , Ik Inshah Naam ka Deewana
Ik naar pe jaan ko Har gaya , mash'hoor hai uss ka afsaana

Uss naar mein aisa roop na tha , jis roop se din ki dhoop dabbey
Iss shehar mein kya kya gori hai , mehtaab rukhey gulnaar labbey
Kuch baat thi uss ki baatoo'n mein,kuch bhaid they uss ke chitwan mein
Wuhi bhaid ke joat jagaatey hain , kisi chahney waaley ke mann mein
Ussey apna banaey ki dhun mein , hua aap hi aap se begaana
Iss basti ke ik koochey mein ik Inshah naam ka Deewana

Na chanchal khail jawani ke , na payaar ki al'harh ghaatein thein
Bus raah mein unn ka milna tha aur phone pe unn ki baatein thein
Iss Ishq pe ham bhi hanstey they , behasil sa behasil tha?
Ik roz biphartey sagar mein , na kashti thi na sahil tha
Jo baat thi in ke ji mein thi , jo bhaid tha yaksar anjaana
Iss basti ek ik koochey mein , ik Inshah naam ka deewana

Ik roz magar barkha rutt mein , wo bhaadoon' thi ya sawan tha
Deewar pe beech sumandar ke , yeh dekhney waloo'n ne dekha
mastana haath mein haath diye , yeh aik Kagar pe baithey they
youn Shaam hui phir Raat hui , jab Sailaani ghar laot gey
kya raat thi wo - ji chahta hai uss raat pe likhein Afsaana
iss basti ke ik koochey mein ik Inhah naam ka deewana

Haa'n Umar ka saath nibhaaney ke they Ehad bohat Paimaan bohat
wo jin pe bharosa karney mein kuch sood nahi , Nuqsaan bohat
wo Naar yeh keh kar door hui - " majboori Sajan Majboori"
yeh wehshat se ranjoor huye aur ranjoori si ranjoori
uss roz hamein maloom hua , uss shakhs ka mushkil samjhana
iss basti ke ik koochey mein , Ik Inshah naam ka deewana

Go Aag se Chaati jalti thi , Go Aankh se darya behta tha
har aik se dukh nahi kehta tha , Chup rehta tha Gham sehta tha
Naadaan hain wo jo chairtey hain , iss aalam mein deewanoo'n ko
uss shakhs se aik jawab mila , sab apnoo'n ko baigaanoo'n ko
"kuch aur kaho to Sunta hoo'n , iss Baab mein kuch mat farmana"
iss basti ke ik koochey mein ik Inshah naam ka deewana

Ab aagey ka Tehqeeq nahi , go sun'ney ko ham suntey they
uss Naar ki jo jo baatein thein , uss Naar ke jo jo Qissey they
ik Shaam jo uss ko bulwaya , kuch samjhaya bechaarey ne
uss raat yeh qissa paak kiya , kuch kha hi liya dukhyaarey ne
kya baat hui , kis toar hui ? Akhbaar se logoo'n ne jana
iss basti ke ik koochey mein , ik Inshah naam ka deewana

Har baat ki khoj to theek nahi , tum ham ko kahani kehney do
Uss naar ka naam maqam hai kya , iss baat pe parda rehney do
ham se bhi soda mumkin hai , tum se bhi jafa ho sakti hai
yeh apna bayaa'n ho sakta hai , yeh apni Katha ho sakti hai
wo naar bhi aakhir pachtaayi , kis kaam ka aisa pachtaana?
iss basti ke ik koochey mein , ik Inshah Naam ka deewaana[/B]

Gul-e-Lala Thursday, July 07, 2005 04:35 PM

ZABURDASATTTTTTTTTTTTTTTTT!!!! :)

Esp.....

"Har baat ki khoj to theek nahi , tum ham ko kahani kehney do
Uss naar ka naam maqam hai kya , iss baat pe parda rehney do
ham se bhi soda mumkin hai , tum se bhi jafa ho sakti hai
yeh apna bayaa'n ho sakta hai , yeh apni Katha ho sakti hai"

keep sharing :)

myselfazm Thursday, November 09, 2006 11:01 AM

Last Island Ji,
Bahut hi achhi composition aapne share kee hai... This is yet another all time fav. from Ibn e Insha. Thanks a lot for the same....

myselfazm Thursday, November 09, 2006 11:02 AM

Hope to see some more like this...

Regards,

'Azm'
New Delhi

I M Possible Thursday, November 09, 2006 11:26 AM

[B]Iss Basti ke Ik koochey mein , Ik Inshah Naam ka Deewana
Ik naar pe jaan ko Har gaya , mash'hoor hai uss ka afsaana[/B]

Wah!

myselfazm Thursday, November 09, 2006 01:38 PM

Farz Karo - Ibn e Insha (Delhi Se...)
 
Doston,

Greetings.

This is my first individual posting in the forum. I am a working professional from New Delhi and very delighted to know the people and members in the forum. Wish you all the very best to every walk of your life.
God Bless you all....
Ibn e Insha..... One of my fav shayar.... His work... Simple but great!!! Here is just a great composition from this legend (It is very possible that you all are familier with this but I wanted to start with this piece). Your views/comments are cordially invited.

Bahut bahut shukriya aap sab ka....

Farz Karo...

Farz karo hum ehl-e-wafa hon, Farz karo deewane hon
Farz karo ye dono baatein jhooti hon afsane hon
Farz karo ye ji ki bipta ji se jor sunai ho
Farz karo abhi aur ho itni, aadhi hum ne chupai ho
Farz karo tumhe khush karne ke dhoonde hum ne bahane hon
Farz karo ye nain tumhare sach much ke mai-khane hon
Farz karo ye rog ho jhoota, jhooti preet humari ho
Farz karo is preet ke rog main sans bhi hum par bhari ho
Farz karo ye jog bajog ka dhong hum ne rachaya ho
Farz karo bas yehi haqeeqat baaki sab kuch maya ho

Farz karo......

Is can be noted how beautifully the contrast is embedded in every couplet. In first line the thought is expressed beautifully but in the next line of couplet has altogether a contrast/opposite flavour of previous line.... and forces the reader to think...... What if....???

'Azm'
New Delhi (India)

KhayaL Friday, November 10, 2006 08:34 PM

[QUOTE=last island]Iss Basti ke Ik koochey mein , Ik Inshah Naam ka Deewana
Ik naar pe jaan ko Har gaya , mash'hoor hai uss ka afsaana

Uss naar mein aisa roop na tha , jis roop se din ki dhoop dabbey
Iss shehar mein kya kya gori hai , mehtaab rukhey gulnaar labbey
Kuch baat thi uss ki baatoo'n mein,kuch bhaid they uss ke chitwan mein
Wuhi bhaid ke joat jagaatey hain , kisi chahney waaley ke mann mein
Ussey apna banaey ki dhun mein , hua aap hi aap se begaana
Iss basti ke ik koochey mein ik Inshah naam tha Deewana

Na chanchal khail jawani ke , na payaar ki al'harh ghaatein thein
Bus raah mein unn ka milna tha aur phone pe unn ki baatein thein
Iss Ishq pe ham bhi hanstey they , behasil sa behasil tha?
Ik roz biphartey sagar mein , na kashti thi na sahil tha
Jo baat thi in ke ji mein thi , jo bhaid tha yaksar anjaana
Iss basti ek ik koochey mein , ik Inshah naam tha deewana


Har baat ki khoj to theek nahi , tum ham ko kahani kehney do
Uss naar ka naam maqam hai kya , iss baat pe parda rehney do
ham se bhi soda mumkin hai , tum se bhi jafa ho sakti hai
yeh apna bayaa'n ho sakta hai , yeh apni Katha ho sakti hai
wo naar bhi aakhir pachtaayi , kis kaam ka aisa pachtaana?
iss basti ke ik koochey mein , ik Inshah Naam tha deewaana[/QUOTE]


zabardast....thanks for sharing

numerasoshin Tuesday, February 08, 2011 01:39 PM

wawoooooooooo

hum ny to dono ko dkha
dono he bydard khatoor
amber wala, dharti wala
phla chand aur dooja chand
chand kisi ka hoo nahin sakta
chand kisi ka hoota hai???/
chand ki khatir zid nahin kaarty
ay mery achhy insha chand


03:22 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.