CSS Forums

CSS Forums (http://www.cssforum.com.pk/)
-   Urdu Poetry (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/)
-   -   Ashar (http://www.cssforum.com.pk/off-topic-section/poetry-literature/urdu-poetry/5527-ashar.html)

farooq_haider22 Friday, October 13, 2006 10:33 AM

Ashar
 
[B]
NIGAHOON SE KATAL KERDO NA HOO TAQLEEF DONO KO,
TUMHAIN KHANGER UTHANY KI MUJY GARDEN JUKANY KI:wub:

PERDA TO HOSH WALOON SE KIA JATA HAI,
BENAQAB CHALY AAOO MAIN NASHY MAIN HOON:snor

KATY NAHI KAT TY HAIN LAMHY INTAZAR KY,
NAZREEN BICHA KY BAITHY HAIN RASTY PE YAAR KY,
DIL NY KAHA DAIKHY JO JALWAY HUSNY YAAR KY,
LAYA HAI KON INKO FALAK SE UTAR KY.:angle

[/B]

irum Friday, October 13, 2006 02:42 PM

kabhi yun bhi ho tere ru baru,
men nazar mila kar ye keh sakun.
meri hasratoun ko shumaar kar,
meri khwahishon ka hisaab de

irum Friday, October 13, 2006 02:44 PM

Amjad Aslam Amjad
 
khushboo ki poshak pehen ker kon gali mein aya hai
kesa ye paighaam rasaan hai
kya kya khabren laya hai
khirki khol ker bahar dekho
mausam mere dil ki baatein tum se kehne aya hai!

irum Friday, October 13, 2006 02:49 PM

Tumhara Gham...
Tumhara gham salamat hai
Tou phir bazar-e-hasti mei
Kisi ki kya zarurat hai..

Afsana Nadeem Friday, October 13, 2006 02:54 PM

ujalay apne yadoon kay hamaray pass rahinay do
na janay kiss galee mein zindge ke shaam ho jaay

irum Friday, October 13, 2006 03:03 PM

rutoon k sath diloon ki woh halatain bhee gayin...
hawa k sung ,hawa ki amanatain bhee gayin...

tairay kahay howay lafzoo ki rakh kya chairayn ....
hamray apnay qalam ki sadaqatain bhee gayin....

I M Possible Tuesday, October 17, 2006 02:55 PM

[B]Meri hatheli pe tum khud ko dhoondna chor do
Mere nasiib main ayain gay hadsaat bohat[/B]

I M Possible Tuesday, October 17, 2006 02:56 PM

[B]Tumhain lagao nahi hai to nafratain hi sahi
Koi to milnay milaanay ka silsila rekho[/B]

Najabat Tuesday, October 17, 2006 03:38 PM

[B]Teray Ausaaf ka ik baab bhi pura na huwa
Zindigian khatam hui or kalam toot gayay![/B]

A verse in honor of Hazrat Muhammad(PBUH).

farooq_haider22 Friday, October 20, 2006 12:30 PM

jab se bichray ho sary shaam ye adat dehri,
door jaty howy logoon ko bulatey rehna.

us ne kaha tujy apna bana ke choroon ga,
pher aisa hi kia, apna bana ke choor dia.


kab ye kaha tha tum se pehly,
muj se milna tha to maira hoota.
----------------------------------
koba koo phail gai baat shana-sai ki,
us ny khusboo ki terha mairi pazirai ki,

kis ne rakha hai dily nadan pe haath,
rooh tak aa gai taseer masihai ki,
----------------------------------

Jab loog hi jazboon ki tauqeer nahi kerty,
hum bhi dukh apna tehrir nahi kerty,

likhty hain wohi guzarti hai jo ic dill per,
parion ki kahani hum tehrir nahi kerty,
-------------------------------------

yonhi by-sabab na mila karoo,
kisi sham gher main raha karoo,

wo gazal ki sachi kitab hai usy,
usy chupky chupky para karoo.

I M Possible Friday, October 20, 2006 12:50 PM

[B]Tamaam umer qayamat ka intezar kia
ghazab kia tere wadey ka aitabaar kia[/B]

Argus Friday, October 20, 2006 02:36 PM

[QUOTE]Meri hatheli pe tum khud ko dhoondna chor do
Mere nasiib main ayain gay hadsaat bohat[/QUOTE]

Wah! Good one

[B]Roz Taron ko Numaish men khalal parta hey
Chand paagal hai andhere mein nikal parta hey[/B]

I M Possible Friday, October 20, 2006 03:37 PM

[QUOTE=Argus]Wah! Good one

[B]Roz Taron ko Numaish men khalal parta hey
Chand paagal hai andhere mein nikal parta hey[/B][/QUOTE]

Ji janab

[B]Chand roshan hai to bas shab ki aziyat tak hai
janta hun kay tera saath zarurat tak hai.[/B]

Qurratulain Friday, October 20, 2006 07:59 PM

[B]Woh jo sehta raha rat-jagoo ki saza chand ki chah mein
Mar gya tou noha kinaa thay shajr aur chand khamoosh tha[/B]

Muskan Ghuman Friday, October 20, 2006 08:11 PM

[B]Kal kahin phir Khuda kii zameen per koi saniha ho gia
Mai nai kal ratt jab bii uthaie nazar chand khamosh tha[/B]

intellectual Friday, October 20, 2006 08:14 PM

[B]Meri aankhein rakh lo mujhey kuch khwaab dey do
Jiss mein tumharee jhalak ho aisee koi sharaab dey do
Chalo choro sari baatein aik baat maan jao
Meri sari umar ley lo bas aik pal ka saath dey do[/B]

Muskan Ghuman Friday, October 20, 2006 08:22 PM

[B]Mai uss kii aas mai tha sab kawarh kholay huway
Guzar gia wo hii lamha guraiz pa ho ker[/B]

Qurratulain Friday, October 20, 2006 09:28 PM

[B]Tang aa k jo bechnay wafa niklay faraz
Logoo ne khaloos kay bhaoo barha diyey[/B]

Sohail Shuja Friday, October 20, 2006 10:18 PM

[b]

Kia wo waqt they jo lagtay they hans hans k haseeno k galey

yeh baat hai tab ki, jab thay ghalib sirf 2 baras k



Huay Marr k bhi jo ruswa
Huay kyun na gharq e daryaa ?
Na kabhi janaza uth-ta
Na kahin mazaar hota

[/b]

Sohail Shuja Friday, October 20, 2006 11:19 PM

[b] Aaye kuch abr, kuch sharaab aaye
us k baad aaye, jo azaab aaye

baam-e-meena se mahtaab utray
dast-e-saaqi main aaftab aaye

kar raha tha ghm-e jahan ka hisaab
aaj tum yaad bey-hisaab aaye

iss tarha apni khamooshi gunji
goya her simt sey jawaab aaye[/b]

Muskan Ghuman Saturday, October 21, 2006 12:26 PM

[QUOTE=Qurratulain][B]Tang aa k jo bechnay wafa niklay faraz
Logoo ne khaloos kay bhaoo barha diyey[/B][/QUOTE]

[B]Tum takaluf ko bii ahlaas samjhtay ho Faraz
Dostt hotta nhin har hath milanay wala[/B]

I M Possible Saturday, October 28, 2006 06:01 PM

[B]Yeh soch lena mujay chorney se pehle tum
Tumhara ishq mera aakhri sahara hai[/B]

farooq_haider22 Sunday, October 29, 2006 04:48 PM

[B]Kon kehta hai, Maoot aii to mer jaoon ga
main to derya hoon samander main badal jaoon ga
[/B]

Najabat Wednesday, November 01, 2006 01:12 PM

Khuch iss Adaa say aaj woh pahloo nashiin rahay
Jab tak hamaray paas rahay Hum nahi rahay!

I M Possible Wednesday, November 01, 2006 04:23 PM

[B]main ussay kho b chuka hun jis ko paya b na tha
abb is zayan k baad to ji ka zayan b kuch nahi[/B]

Najabat Wednesday, November 01, 2006 06:39 PM

Tar-Daamni pay shaikh hamari na jayiyoo
Daman nichoor daay too farishtay wazoo karay!!!

farooq_haider22 Thursday, November 02, 2006 05:27 PM

[B]Muj se ager tum milna chahoo,
ankoon main ik khowab sajoo,
acha! ab tum so jao.[/B]

Najabat Thursday, November 02, 2006 07:17 PM

Laboo pay geet to aankhoo may khuwaab rakhtay thay
Kabhi kitaboo may hum bhi gulab rakhtay thay!;-)

I M Possible Thursday, November 02, 2006 08:26 PM

[B]Main jaanta hun ke tu mujay bhula chuka hai
per kahin kahin to mujay hafizay main rehne de[/B]

I M Possible Thursday, November 02, 2006 08:27 PM

[B]Tumharey ishq k satoun sawal mushkil hain
gham e hayat ka bhi imtehan baki hai[/B]

I M Possible Thursday, November 02, 2006 08:27 PM

[B]Is se agay to mohabat se gila hai muj ko
Tu to bas mera hath chor dia kerta tha[/B]

Najabat Friday, November 03, 2006 12:03 PM

[B]Woh joo ik shakhs tha talab meri
Woh jo na mil saka mughay
Tow haath dua say yuu gira
May bhool gaya sawaal bhi[/B]

farooq_haider22 Sunday, November 12, 2006 01:27 PM

Masomiat to dekhiy mery hozor ki,
Logon se pochty hain kis ka mazar hai.

Mehaak Sunday, November 12, 2006 02:10 PM

Salam

Bathay nahi zameen main khazanoon ko gaarh kar
Moout aye tu uthh kharay hu aa daman ko jhaar kar

Regards

farooq_haider22 Monday, November 13, 2006 06:18 PM

meri "Khudi" meri zindagi ka hasil hai,
geron jo apni nazar se to mer bhi sakta hoon.

kehny ko hai kheyal mager kia kamal hai,
dil cheer deny wali teri kajry ki dhar hai.

I M Possible Wednesday, November 15, 2006 08:05 AM

[B]Sitam To Yeh Hai K Woh Bhi Na Ban Saka Apna
Qubool Hum Ne Kiye Jiss K Gham Khushi Ki Tarah [/B]

farooq_haider22 Wednesday, November 15, 2006 06:19 PM

[B]ye dua hai teri, hoo teri arzoo pori,
ye dua hai meri, ke ye arzoo badal jay.


us ne kaha tujy apna bana ke choroon ga,
pher aysa hi kia, apna bana ke choor deya.[/B]

Waseemtabish Wednesday, November 15, 2006 07:48 PM

Muhabbat Per kisi bhi Rasm ka Pehra nahin chalta
Kisi Aamr ,Kisi Sultan ka Sikka nahin Chalta

I M Possible Thursday, November 16, 2006 12:54 PM

[B]shoq-e-visaal hai yahaan lab pe sawaal hai yahaan
kiss ki majaal hai yahaan hum se nazar mila sakay [/B]

I M Possible Thursday, November 16, 2006 12:54 PM

[B]tumhi ko chahtay hain tumhi se piyar kertay hain
yehi barson se adat hai aor adat kab badalti hai [/B]


01:39 AM (GMT +5)

vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.