#1
|
|||
|
|||
aaKhirii mulaaqaat
aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manaaye.N ham
aatii nahii.n kahii.n se dil-e-zindaa kii sadaa suune pa.De hai.n kuuchaa-o-baazaar ishq ke hai shama-e-anjuman kaa nayaa husn-e-jaa.N gudaaz shaayad nahii.n rahe vo patango.n ke val_vale taazaa na rakh sakegii rivaayaat-e-dasht-o-dar vo fitnaasar gaye jinhe.n kaa.NTe.n aziiz the ab kuchh nahii.n to niind se aa.Nkhe.n jalaaye.N ham aao ki jashn-e-marg-e-muhabbat manaaye.N ham sochaa na thaa ki aayegaa ye din bhii phir kabhii ik baar ham mile hai.n zaraa muskuraa to le.n kyaa jaane ab na ulfat-e-deriinaa yaad aaye is husn-e-iKhtiyaar pe aa.Nkhe.n jhukaa to le.n barasaa labo.n se phuul terii umr ho daraaz sanbhale hue to hai.n. par zaraa Dagamagaa to le.n |
#2
|
||||
|
||||
Is kadar intezaar karna padega aapka,
pata na tha Is kadar bekarar hona padega, pata na tha Is kadar yaad aayegi aapki, pata na tha kyon guzarata hai sara din aapki yaad mey pata hai aapko ? kyon bekrar ho jaata hun mai bin tumhare pata hai aapko ? Kyon yaad aati hai aapki har pal pata hai aapko ? Ye dooriya ab sahi jaati nahi chale aao, chale aao chale aao, chale aao Regards.
__________________
Mehaak Butt |
|
|
Similar Threads | ||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
aa.Nkh me.n thii hayaa har mulaaqaat par | Anarkali | Urdu Poetry | 0 | Saturday, September 01, 2007 11:30 PM |