#1
|
||||
|
||||
Ummid
Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain Kuch paalene ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai Har aik ko barsar-e-ilzam kiun thehrayein hum Apne samne bhi tou aik ayeena hota hai Hum apni zindagi se kiun haar jayein Gar doobta hai sooraj tou kal bhi ujala hota hai Regards. |
|
|