jahaan na terii mahak ho
jahaan na terii mahak ho udhar na jaon main
merii sarisht safar hai guzar na jaon main
mere badan main khule jangalon kii miTTii hai
mujhe sambhaal k rakhna bikhar na jaon main
mere mizaj main be-maeanii ulajhanen hain bahut
mujhe udhar se bulanaa jidhar na jaon main
kahien pukaar na le gahari vaadiyon kaa sabuut
kisii maqaam pe aakar Thahar na jaon main
na jaane kaun se lamhe kii bad-duaa hai ye
qariib ghar ke rahun aur ghar na jaon main
__________________
The color of blood in my veins is green,I am a proud Pakistani.
|