View Single Post
  #1  
Old Monday, December 02, 2019
AfsahAhmad AfsahAhmad is offline
Junior Member
 
Join Date: Mar 2019
Posts: 1
Thanks: 1
Thanked 0 Times in 0 Posts
AfsahAhmad is on a distinguished road
Post Translate the following passage please!

Taaleemi aur adabi khidmaat:
Sir syed ahmad khan pehlay shakhs hain jinho ny urdu ko ijtemai maqasid ka tarjuman aur ilmi mutaalib kay izhaar ka waseela bnaya. Is liye agar in k dor ko urdu nassar ka dor e jadeed aur inko is doar ka mujjadad e aazam kaha jaey tu bejaa na hoga. Un ka bunyaadi maqsad muslmanan e hind falah o behbood aur tanzeem tha. Unho ny taqreeron k sath sath apni tehreeron k zariye bhi mulk o qaum kay elawa zubaan o adab ki eham khidmaat anjaam dien. Unho ny khud bhi bht kuch likha aur dosron s bhi likhwaya. Un ki tasneef ki fehrist bari taweel ha. Mukhtasir yeh hai k sir syed ki fikri koshishon ki badolat na siraf khayalat me tabdeeli paida hui balkay ebaarat aarai kay qadeem andaaz ka rawaj kam hua, bhari, motay aur gair zaruri ilfaaz kay bojh s zaban aazaad hui. Unhon ny urdu ilm o adab ka koi pehlu aur mozon aisa nhi chora jis par unhn ny kuch na kuch tehreer na kia ho, unhon ny urdu ko almi zuban bna dya aur unka inteqaal 1816 ko hua
kindly help me please
Reply With Quote