View Single Post
  #1  
Old Saturday, March 18, 2006
Eram Khan's Avatar
Eram Khan Eram Khan is offline
Poetess of the Forum
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Medal of Appreciation
 
Join Date: Dec 2005
Location: Dubai
Posts: 144
Thanks: 0
Thanked 41 Times in 12 Posts
Eram Khan is on a distinguished road
Default Meray Pass ho key Door hey, Teri Qurbatain bhi ajeeb hain..


Meray Pass ho key Door hey, Teri Qurbatain bhi ajeeb hain..
Kabhi Dil ki Baat Kahhi nahe, Teri Chahtain bhi Ajeeb hain..


Jo Baat Appney thi Darmiyan,to Sab ko Bataata Chala Gaya..
Main kia kahon Aye Meray Dost,Teri Himak'tain bhi Ajeeb hain..


To Rooth k bhi Bhala Lagey,Ghazab hain teray Khad-o-Khal bhi..
Har aik ki tu Nazar main hay,teri Shohratain bhi Ajeeb hain..


Jissey too nay Nazar sey Gira diya,Kabhi Vo na Sambhal sakey ga Phir..
Main khob Jantaa hon ye,Teri Nafratain bhi Ajeeb hain...


Too kabhi to meray Dil ka Khayal kar Kuch to mera Lihaz kar..
Tujhey kia Khabar aye Bay-Khabar, Ye Qayamatain bhi Ajeeb hain..


Voo Zara si Baat pe Barhamii,Teri Ankhon main Chupi Chupi si Namii..
To bohot hi Achaa Lagey hay Mujhey,Teri Nazakatain bhi Ajeeb hain..


Kabhi to Mera Lagey Mujhay,Kbhi lagey ye Teri Dil-Lagii..
Teray Dil ki Bat na Sun saka..Teri Rafakatain bhi Ajeeb hain..


To Pass hay Phir bhi Safar main hon,Kabhi Tujh tak Pohonch Paon ga Bhii..
Main Sach kahon ke Naa Kahon !! ye Musafatain bhi Ajeeb hain..


__________________
*"Learn alll the Rules so that u know how to Break them ...

*if Your Words are not SUCH Powerful as Your Silence Then "Shut-up" !
Reply With Quote