Monday, April 29, 2024
04:19 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #1  
Old Saturday, March 18, 2006
Eram Khan's Avatar
Poetess of the Forum
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Medal of Appreciation
 
Join Date: Dec 2005
Location: Dubai
Posts: 144
Thanks: 0
Thanked 41 Times in 12 Posts
Eram Khan is on a distinguished road
Default Meray Pass ho key Door hey, Teri Qurbatain bhi ajeeb hain..


Meray Pass ho key Door hey, Teri Qurbatain bhi ajeeb hain..
Kabhi Dil ki Baat Kahhi nahe, Teri Chahtain bhi Ajeeb hain..


Jo Baat Appney thi Darmiyan,to Sab ko Bataata Chala Gaya..
Main kia kahon Aye Meray Dost,Teri Himak'tain bhi Ajeeb hain..


To Rooth k bhi Bhala Lagey,Ghazab hain teray Khad-o-Khal bhi..
Har aik ki tu Nazar main hay,teri Shohratain bhi Ajeeb hain..


Jissey too nay Nazar sey Gira diya,Kabhi Vo na Sambhal sakey ga Phir..
Main khob Jantaa hon ye,Teri Nafratain bhi Ajeeb hain...


Too kabhi to meray Dil ka Khayal kar Kuch to mera Lihaz kar..
Tujhey kia Khabar aye Bay-Khabar, Ye Qayamatain bhi Ajeeb hain..


Voo Zara si Baat pe Barhamii,Teri Ankhon main Chupi Chupi si Namii..
To bohot hi Achaa Lagey hay Mujhey,Teri Nazakatain bhi Ajeeb hain..


Kabhi to Mera Lagey Mujhay,Kbhi lagey ye Teri Dil-Lagii..
Teray Dil ki Bat na Sun saka..Teri Rafakatain bhi Ajeeb hain..


To Pass hay Phir bhi Safar main hon,Kabhi Tujh tak Pohonch Paon ga Bhii..
Main Sach kahon ke Naa Kahon !! ye Musafatain bhi Ajeeb hain..


__________________
*"Learn alll the Rules so that u know how to Break them ...

*if Your Words are not SUCH Powerful as Your Silence Then "Shut-up" !
Reply With Quote
  #2  
Old Sunday, March 19, 2006
THE 1's Avatar
Banned
 
Join Date: Aug 2005
Location: My Place!
Posts: 306
Thanks: 0
Thanked 29 Times in 2 Posts
THE 1 will become famous soon enough
Red face Dil bigrha baccha hai!

hope u'll like this one:

~"Dil woh bigrha hua baccha hai keh jo maangay ga!
gar isee waqt naa dengay to machal jaayega!

raat phir aayegi phir zehn kay darwaazay per
koi mehndi mein rangay haath say dastak degaa

dhoop hai saaya nahi, aankh kay sehra mein kaheen
deed ka qaaflaa aayaa to kahaan thehrega

woh to khushboo hai isay choomsako gay kaisay?
marr bhi jaao to yeh armaan naa kabhi niklega

dekh kar shama-e-tamanna kee ziyaa' aankho mein
muskuraayega magar baat nahi maanega

aahat aatay hee nigaaho ko jhukaalena keh usay
dekhlogay to lipatnay ko bhi jee chaahega....
"


aadaab....


Regards,

THE 1

Last edited by THE 1; Sunday, March 19, 2006 at 11:49 PM.
Reply With Quote
  #3  
Old Monday, March 20, 2006
free thinker's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Mar 2006
Location: in graveyard
Posts: 189
Thanks: 0
Thanked 39 Times in 19 Posts
free thinker is on a distinguished road
Default

DUKH ANMOL HOTEY HAIN

Dukh anmol hotey hain
qudrat ki wadeeat hain
kabhi kuch dey k jaatey hain
kabhi sub cheen laitey hain
kabhi beychain kartey hain
kabhi jeena sikhaatey hain
kabhi bantey hain jub aansoo
umar bhar lahoo rulaatey hain
kabhi lub ki hunsi bun kar
nayi dunya sajaatey hain
kabhi meethi kasak ban kar
anjaani khalish bun kar
makeen-e-dil yeh bantey hain
kisi soorat nahin mit'tey
jo in say door bhaago tou
kaheen jaaney nahin detay
naa zinda rehnay detay hain
naa yeh aazaad kartey hain
nahin jiski dawa koi
yeh aisa dard hotey hain
magar yeh bhi ik haqeeqat hay
hur aik ko to nahin miltey
barey nayaab hotey hain
Dukh anmol hotey hain!!
__________________
kareiN meiN ney kesi ebaadateiN
rahi aetaqaaf mein chasm-e-num
kaeiN rath-jugouN ki dukhi huwee
na hi buth miley naa pari milee

merey charagarh mere hum-navaa
naa pari milee, na hi buth miley
naa hee en buthouN ka Khuda mila
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
Faiz Ahmed Faiz Mazher Urdu Poetry 37 Thursday, November 22, 2018 11:50 AM
All about Pakistan Muhammad Adnan General Knowledge, Quizzes, IQ Tests 78 Wednesday, May 16, 2012 09:50 PM
Meray Sahir teri aankhain yeh kesa dard rakhti hain Last Island Urdu Poetry 2 Thursday, July 08, 2010 04:13 PM
Teri qurbatain bhi saraab hain...... sara soomro Urdu Poetry 0 Wednesday, January 28, 2009 12:39 PM
Meray Khuwab Meray Sapnay Meray Tak Hain Sureshlasi Urdu Poetry 0 Saturday, September 01, 2007 03:55 AM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.