View Single Post
  #6  
Old Wednesday, August 19, 2009
sara soomro's Avatar
sara soomro sara soomro is offline
Senior Member
 
Join Date: Jan 2008
Location: pakistan
Posts: 808
Thanks: 232
Thanked 1,099 Times in 496 Posts
sara soomro has a spectacular aura aboutsara soomro has a spectacular aura about
Default

Zavia3-Patang Baz Sajna

zindagi yun to guzar hi jati hai lekin agar humari zindagi baham insano k darmiouyan or in ki mohabat mai guzre to wo zindagi bari khoobsoorat hogi or yaqeenan hogi.

Meri Arzoo hai k ise Insaan ki madad, Arzoo or insaan k sahare ki aadat na rahe. or yeh bila-wasta tor per Khuda se madad talab kare. Agar yeh insaan se koi arzoo wabasta kare ga to yeh khuda se itna hi door hota chala jae ga.

Mera Patang (kite) jab bahut ouncha chala jata hai or nazroon se ojhal ho jata hai or mere haath mai sirf iski door hoti hai to is na-Nazar ane ki jo khench hoti hai. is ne muje Allah k kareeb ker dia hai or mere dil per Allah ki KHench bhi Waise hi parti hai jaise is Patang ki mere hathoo per parti hai.





*******************************************


Zavia3-Black & White

Babay asaniya farham kerte hain. logo ko asra or sahara farham kerte hain. aise waqt mai mohabat kay do bol ata kerte hain jab insaan ko in ki zaroorat hoti hai. mere nazdeek wo Electrician baba hai jo kisi Ghar mai begari paise mangay bijli ka Shoe theek ker kay garami mai pankha chala deta hai. mere nazdeek wo baba hai jo kisi muhtaj borhe ko apna kaap chor ker sadak par kerwata hai. or mere khayal mai wo saikal per baraf kay gole bechne wala ek baba hai jo kisi rahi ko begair muhawza mohabat se pani ka ek glass paish kerta hai.

Kuch log mazak mai ya jaan churane kay liye kisi ko Rasta galat bata dete hain. Yeh to babay wali quality nahi hai. yeh top black & white kaam hai.

iski saari wajah humare rawaiye hain jo humein ek doosre se qareeb ya door ker dete hain. agar hum soch lein kay hum ne ek mahine mai, ek hafte mai, ya din mai kisi bhi ek waqt logo ki or insan ki asani k liye kaam kerna hai to humare sare masail khud-ba-khud hal hona shuroo ho jaein gay. yeh black & white zindagi khud-ba-khud color ful hona shuro ho jae gi. humari zindagi ka insano k liye sarf kia gaya ek ek minute, second jab bahut sare insano kay isi tarha waqf kiye gaye ghanto, dino or secondo mai jama hoga to yeh waqt itna ban jaye ga k shumar nahi hoga.

Yeh kaam infradi tor per kerne ka hia. hukumat ka nahi hai. hum her baat per hukumat ko dosh dena shuro ker dete hain. nizaam ki kharabi ki baat kerte hain. jab bhi koi baat hoti hai kaha jasta hai "Sada Nizam e theek nahi" Insano ko asaniya farham kerna hukumaton ka kaam nahi hai. yeh infradi noiyat ka kaam hai. or hukumat ka kaam to tax or utility bills ka hisab kitab rakhna ahi.

Insaan haqeer nahi hota, kabhi kisi insaan ko kam tar na jano.

Kafir se is liye nafrat na karo ka wo kafir hai balkay is kay kufr ko haqeer jano ise nahi. wo to insaan hai.

Humari zindagio per Utility bills ka bojh itna barh gay ahai k hum Chir chire ho gaye hain.





************************************************

Zavia3-Bacha Jamhora by Ashfaq Ahmed

ab admi ka bht dil tang ho jaye. gussay mai ho, shidat mai ho to wo apna wajood chor deta hai or jab admi apna wajood chor deta hai to wo barhana (Nude) ho jata hai or phir is kay uper koi bhi cheez hamla ker sakti hai. apne bachao (defense) ka behtreen tareeqa yeh hai k aap humesh apane wajood kay andar rahein. or jab aap kay uper koi aisi bapta parne wali ho, koi aisi musibat guzarne wali ho jis ka andesha ho to phir aap ko haq pohunchta hai k tatool ker dekhein.

wajood k andar jane se aadmi ko sab se bara faida yeh hota hhai k is ki aqal iska sath dene lagti hai wa-garna nahi deti.

theek hai Control kerna mushkil hai. mai control kerne kay liye nahi kehta lekin aap ko yeh zaroor pata lagna chahiye kay yeh mera Case (wajood) tha or mai is se ab bahar nikal chuka ho ya chuki ho or mere apne wajood kay andar rehna bahut zaroori hai.

Bijli ki Taar jab tak apne Khaul mai rehte hain, achay hote hai ,khidmat kerte hai., pankhay chalate hain, hawa dete hai. roshni kerte hai. lekin jab bahar htoe hhai to jaan ka nuqsan kerte hain, kharabi humesha paida hoti hai. jab insaan ko apni zaat per ekhtiyar nahi rehta or wo apne qalbowat se bahar ajata hai.

Jo Shaks apni bechaini ki kafiyat mai apne uper thora sa ekhtriya mazboot rakhta hai wo zindagi mai zaroor kamiyab rehta hai or is ka mushkil wat chala jata hai.


Discipline ki zaati or Ijtamai zindagi mai shidat se zaroorat hai. hum doosri qaumon k muqable mai zara apne Khol se jaldi bahar ajate hain.

Zinda Qaumo per jab waqt parta hai to wo ziyada muhzab, ziyada sanjeeda or ziyada khayal k saath wabasta ho jati hain.

Bad-Qismati se humari is tarha ki training hue hi nahi hai. Yeh TV ki bhi Zimadari thee k wo apna kirdar ada kerta.




__________________
Kami kis shae ki hai tere khazaane me mere Allah
Jhukaa ke sar jo maangun teri rehmat mil hi jaaegi...
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to sara soomro For This Useful Post:
pomi1005 (Wednesday, September 30, 2009), Shining Crystal (Monday, August 31, 2009)