View Single Post
  #50  
Old Thursday, July 08, 2010
Invincible's Avatar
Invincible Invincible is offline
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2006
Location: Karachi.
Posts: 1,628
Thanks: 1,011
Thanked 1,572 Times in 792 Posts
Invincible has much to be proud ofInvincible has much to be proud ofInvincible has much to be proud ofInvincible has much to be proud ofInvincible has much to be proud ofInvincible has much to be proud ofInvincible has much to be proud ofInvincible has much to be proud of
Default Beautiful poetry of Faraz

1. Usay Bhi Apnay Kiye Ka Malaal Hona Hay~

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
K ashq rokna tum se mohaal hona hay

Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay

Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay

Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay

" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay

2. Ho Gayi Rukhsat

Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad

Mere behte hue Aansuo ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad

Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad

Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad

Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad

Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya "K" baarish ke baad


3. Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae
Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae

Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae

Myrey Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae
Woh Har Ek Shakhus Ko Daanista Khafa Karta Hae

Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi
Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae

Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae ..!!!


4.Kissi Se Juda Hona Agar Itna Asan Hota "FARAZ"
Jism Se Rooh Ko Lenay Kabhi Farishtay Na Atayyyy.....!!!



5.Tu kisi aur ke liye hoga samander-e-ishq faraz
hum to rooz tery sahil se piyase guzar jaty hain..


6. hum un say millay to khuch keh na sakay
"faraz"
khushi itni they k mulaqat ansoo ponchtay he guzar gai


7.Kis ki Kya majal thi jo koi Hum ko kharid sakta",,,
Faraz,..
"Hum to khud hi Bik gaey kharidar dekh k"...

8.Tera Na Ho Saka To Mar Jaon Ga Faraz.
Kitna Khobsurat Wo Jhoot Bolta Tha".

9.Zindagi to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz..,
Auron k saharay to Janazay utha kartay hain..!

10. Wo roz dekhta hai dubtay huay suraj ko faraz.
Kash mai b kisi shaam ka manzir hota....!


11. Main us k Haathon me tha
Tute hue Sheeshe ki trha "Faraz",
Bari Umeed thi k bikhrne nhi dega.
Bus giraya kuch is Ada se k
Simatne ki Aaas hi na rahi

Members are requested to share faraz poetry in this thread.
__________________
When you try, you risk failure. When you don’t try, you ensure it.

Last edited by marwatone; Thursday, July 08, 2010 at 03:39 PM. Reason: Some of them are posted already.
Reply With Quote