Sunday, April 28, 2024
04:55 PM (GMT +5)

Go Back   CSS Forums > Off Topic Section > Poetry & Literature > Urdu Poetry

Reply Share Thread: Submit Thread to Facebook Facebook     Submit Thread to Twitter Twitter     Submit Thread to Google+ Google+    
 
LinkBack Thread Tools Search this Thread
  #41  
Old Thursday, April 10, 2008
Senior Member
Qualifier: Awarded to those Members who cleared css written examination - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2007
Posts: 562
Thanks: 516
Thanked 486 Times in 267 Posts
Nonchalant is a jewel in the roughNonchalant is a jewel in the roughNonchalant is a jewel in the rough
Default

Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna apna
hum jo toote to raayegaan toote
__________________
__________________________________
nahin nigah main manzil to justaju hi sahi
nahin wisaal mayassar to arzu hi sahi
Reply With Quote
  #42  
Old Friday, April 11, 2008
Noman's Avatar
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Feb 2006
Location: Bahawalpur
Posts: 374
Thanks: 191
Thanked 407 Times in 287 Posts
Noman has a spectacular aura aboutNoman has a spectacular aura about
Default

Gayi rutoon mein to sham o saher na the aise
Keh Hum udaas bohet the Maqer na the aise

Yahan bhee Phool se chahre dikhai dete the
Ye Ab jo hein yahi diwaar o dar na the aise

Mile to Kher na milne pe ranjishein kesi
Kh us se apne marasim the per na the aise

Rafaqaton se mara hun musafaton se nahi
Safer wahi tha mager hum safer na the aise

hamein the jo tere ane talek jale warna
sabhi charaq sare reh guzr na the aise

Dil tabah tujhe aur kiya tasali dein
Tare nasib tere chara ger na the aise

Faraz kush ho keh ihsaan us sitamger ke
Jo tujh pe hein wo kisi aur pe na the aise
Reply With Quote
  #43  
Old Sunday, April 20, 2008
Wounded Healer's Avatar
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Dec 2006
Location: a few moments farther from creation
Posts: 576
Thanks: 49
Thanked 161 Times in 115 Posts
Wounded Healer has a spectacular aura aboutWounded Healer has a spectacular aura about
Default Hum sunaien toh kahani aur hai

Hum sunaien toh kahani aur hai
Yaar logoon ki zabani aur hai

Chaara ger rotey hain taza zakham ko
Dil ki beemari purani aur hai

Jo kaha hum ne woh mazmoon aur tha
Tarjumaan ki zabani aur hai

Hai bisaat-e dil laho ki aik boond
Chasham-e purkhoon ki ravani aur hai

Nama ber Ko kuch bhi hum paegaam dain
Dastaan uss ne Sunani aur hai

Aab-e zamzam dost laaie hain aabas
Hum jo peetay hain woh pani aur hai.

Sub Qayamat Qayamatoon ko dehkh lo
Kya mere jana ka sani aur hai?

Ahelay dil ki anjuman main aa kabhi
Un ki duniya yaar jani aur hai

Shairi kerti hai ik duniya Faraz
Per teri sada bayani aur hai.
__________________
*********************************
The only verdict is vengeance; a vendetta,
held as a votive, not in vain, for the value
and veracity of such shall one day vindicate
the vigilant and the virtuous.
*********************************
Reply With Quote
  #44  
Old Thursday, July 03, 2008
Wounded Healer's Avatar
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Dec 2006
Location: a few moments farther from creation
Posts: 576
Thanks: 49
Thanked 161 Times in 115 Posts
Wounded Healer has a spectacular aura aboutWounded Healer has a spectacular aura about
Default

dil behelta hai kahaan anjum-o-mehtaab se bhi
ab toh hum laug bhi gaye deeda bekhwaab se bhi

rau parra hoon toh koi baat he aisi ho gi
mein keh waqif tha tere hijr ke aadaab se bhi

kuch toh os aankh ka shewa hai khafa ho jaana
aur kuch bhool hui hai dil-e-betaab se bhi

aye samandar ki hawa tera karam bhi maaloom
pyaas saahil kii toh bujhti nahi sailaab se bhi

kuch toh os husn ko jaaney hai zamaana saara
aur kuch baat chali hai mere ahbaab se bhi
__________________
*********************************
The only verdict is vengeance; a vendetta,
held as a votive, not in vain, for the value
and veracity of such shall one day vindicate
the vigilant and the virtuous.
*********************************
Reply With Quote
  #45  
Old Sunday, July 06, 2008
Senior Member
 
Join Date: Apr 2008
Location: Sara Pakistan...Humara Pakistan
Posts: 1,592
Thanks: 650
Thanked 795 Times in 464 Posts
Surmount is a jewel in the roughSurmount is a jewel in the roughSurmount is a jewel in the rough
Default

Wo aey meri Qaber pe apne raqeeb k sath Faraz

Kon kehta hai Musalmano ko Jalaya nahi kerty
__________________
~Time owns each and everything~
~Useless youth if not useful for Pakistan~
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Surmount For This Useful Post:
Faraz_1984 (Friday, July 11, 2008)
  #46  
Old Sunday, July 13, 2008
Senior Member
Qualifier: Awarded to those Members who cleared css written examination - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2007
Posts: 562
Thanks: 516
Thanked 486 Times in 267 Posts
Nonchalant is a jewel in the roughNonchalant is a jewel in the roughNonchalant is a jewel in the rough
Default

Poets.

ham to yuN Khush the ke ek taar gariibaan meN hai
kyaa khabar thii ke bahaar uske bhi armaan meN hai

ek zarb aur bhii ai zindagii tesha-e-badast
saaNs lene kii sakat ab bhii merii jaan meN hai

maiN tujhe kho ke bhi zindaa huN, ye dekhaa tuune
kis qadar hoaslaa haare hue insaan meN hai

faasile qurb ke sholon ko havaa dete hain !
main tere shh’r se duur aur tuu mere dhyaan meN hai

sar diivaar farozaaN hai, hai abhii ek chiraaG
ai naseem-e-sahrii ! kuch tere imkaan meN hai

dil dhaRakne kii sadaa aatii hai gaahe gaahe
jaise ab bhii terii aavaaz mere kaan meN hai

khalqat-e-shah’r ke har zulm ke bawasaaf “Faraz”
haaye vo haath ke apne hii gariibaan meN hai
__________________
__________________________________
nahin nigah main manzil to justaju hi sahi
nahin wisaal mayassar to arzu hi sahi
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Nonchalant For This Useful Post:
saadat110 (Tuesday, July 15, 2008)
  #47  
Old Sunday, July 13, 2008
Senior Member
 
Join Date: Apr 2008
Location: Sara Pakistan...Humara Pakistan
Posts: 1,592
Thanks: 650
Thanked 795 Times in 464 Posts
Surmount is a jewel in the roughSurmount is a jewel in the roughSurmount is a jewel in the rough
Default

Mein lafaz lafaz dhond kar thaak bhi giya Faraz

WO phool dey kar Pyar ka izhar kar gya!
__________________
~Time owns each and everything~
~Useless youth if not useful for Pakistan~
Reply With Quote
  #48  
Old Friday, July 25, 2008
arsa's Avatar
Senior Member
 
Join Date: Jun 2008
Location: lahore
Posts: 612
Thanks: 212
Thanked 293 Times in 204 Posts
arsa will become famous soon enough
Default

wo apny fayady ki khatir hir aa mily they ham se fraz
ham nadaan samghy k hamri duaoon main aser hi
__________________
Never give someone "all your love"--Save it for the Lord Above.

Last edited by marwatone; Thursday, July 08, 2010 at 03:16 PM.
Reply With Quote
  #49  
Old Sunday, July 27, 2008
38th CTP (DMG)
CSP Medal: Awarded to those Members of the forum who are serving CSP Officers - Issue reason: CE 2009 - Merit 293
 
Join Date: Dec 2005
Location: abbottabad
Posts: 205
Thanks: 34
Thanked 31 Times in 21 Posts
rubab umer khan is on a distinguished road
Default

saree haqeeqatoun ko khawab kerkey
umer bher kee khushiyaan saraab kerkey

baddal gaya hai woh chahatoun sey faraz
meree aadatoun ko kharab kerkey...

-------------------------------


har adawat pey muhabbut ko saja ker milna
rasm e duniya hai meri jan haqeeqat ko chuppa ker milna

jis ka kirdaar hai sitaroun kee terha roushan
kitna dushwaar hai us shaks ko ja ker milna

tum muhabbut ko bhee fareib sumujhtey ho faraz
uskee ada hai jub bhee milna nigahoun ko jhuka ker milna
__________________
Allah is He,than Whom there is no God ;the Sovereign,the Holy One,the Source of Peace(n Perfection),the Guardian of Faith,the Preserver of Safety,the Exalted in Might,the Irresistible,the justly Proud glory to Allah!(High is He)above the partners they attribute to Him.(Surah e Hashar,verse #23)

Last edited by marwatone; Tuesday, April 21, 2009 at 02:21 AM.
Reply With Quote
  #50  
Old Thursday, July 08, 2010
Invincible's Avatar
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2006
Location: Karachi.
Posts: 1,628
Thanks: 1,011
Thanked 1,572 Times in 792 Posts
Invincible has much to be proud ofInvincible has much to be proud ofInvincible has much to be proud ofInvincible has much to be proud ofInvincible has much to be proud ofInvincible has much to be proud ofInvincible has much to be proud ofInvincible has much to be proud of
Default Beautiful poetry of Faraz

1. Usay Bhi Apnay Kiye Ka Malaal Hona Hay~

Abhi to ishq main aisa bhi haal hona hay
K ashq rokna tum se mohaal hona hay

Har aik lab pe hay meri wafa k afsanay
Tere sitaam ko abhi lazawal hona hay

Tumhain khabar hi nahin tum to loot jao gay
Tumharay hijar main ik lamha sal hona hay

Humari rooh pe jaab bhi azaab otrain hay
Tumhari yaad ko is dil ki dhaal hona hay

Kabhi to roye ga woh bhi kisi ki bahoon main
Kabhi to us ki hansi ko zawal hona hay

Milay gi hum ko bhi apne naseeb ki khushiyaan
Bas intizaar hay kab yeh kamal hona hay

Har aik shaks chalay ga humari rahoon per
Mohabatoon main humahin woh misaal hona hay

Zamana jis k kham-o-peech main olajh jaye
Humari zaat ko aisa sawal hona hay

" yaqeen hay mujh ko woh loot aye ga
Usay bhi apne kiye ka malal hona hay

2. Ho Gayi Rukhsat

Hogayi rukhsat ghata baarish ke baad
Ek diya jalta raha baarish ke baad

Mere behte hue Aansuo ko dekh kar
Ro parri thandi hawa baarish ke baad

Meri tanhaayi ka daaman thaam kar
Kuch udaasi ne kaha baarish ke baad

Yaad teri odh kar mein so gayi
Khawaab ka daar khul gaya baarish ke baad

Chand dekh kar baadlo ki qaid mein
Ek sitaara ro diya baarish ke baad

Apne ghar ki har kachi deewaar par
Naam tera likh diya "K" baarish ke baad


3. Jab Tera Dard Myrey Sath Wafa Karta Hae
Ek Samandar Myri Aankhon Se Baha Karta Hae

Uss Ki Batain Mujey Khushbu Ki Tarah Lagti Hain
Phool Jaisey Koi Sehra Main Khila Karta Hae

Myrey Dost Kii Pehchan Yahi Kaafi Hae
Woh Har Ek Shakhus Ko Daanista Khafa Karta Hae

Aur Tu Koi Sabab Uss Ki Muhabbat Ka Nahi
Baat Itni Hae Kay Woh Muj Se Jafa Karta Hae

Jub Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hae ..!!!


4.Kissi Se Juda Hona Agar Itna Asan Hota "FARAZ"
Jism Se Rooh Ko Lenay Kabhi Farishtay Na Atayyyy.....!!!



5.Tu kisi aur ke liye hoga samander-e-ishq faraz
hum to rooz tery sahil se piyase guzar jaty hain..


6. hum un say millay to khuch keh na sakay
"faraz"
khushi itni they k mulaqat ansoo ponchtay he guzar gai


7.Kis ki Kya majal thi jo koi Hum ko kharid sakta",,,
Faraz,..
"Hum to khud hi Bik gaey kharidar dekh k"...

8.Tera Na Ho Saka To Mar Jaon Ga Faraz.
Kitna Khobsurat Wo Jhoot Bolta Tha".

9.Zindagi to apnay hi Qadmon pe chalti hai Faraz..,
Auron k saharay to Janazay utha kartay hain..!

10. Wo roz dekhta hai dubtay huay suraj ko faraz.
Kash mai b kisi shaam ka manzir hota....!


11. Main us k Haathon me tha
Tute hue Sheeshe ki trha "Faraz",
Bari Umeed thi k bikhrne nhi dega.
Bus giraya kuch is Ada se k
Simatne ki Aaas hi na rahi

Members are requested to share faraz poetry in this thread.
__________________
When you try, you risk failure. When you don’t try, you ensure it.

Last edited by marwatone; Thursday, July 08, 2010 at 03:39 PM. Reason: Some of them are posted already.
Reply With Quote
Reply


Posting Rules
You may not post new threads
You may not post replies
You may not post attachments
You may not edit your posts

BB code is On
Smilies are On
[IMG] code is On
HTML code is Off
Trackbacks are On
Pingbacks are On
Refbacks are On


Similar Threads
Thread Thread Starter Forum Replies Last Post
English Poetry DANISH_KHAN English Poetry 2 Sunday, October 13, 2019 02:26 PM
History of English literature Naseer Ahmed Chandio English Literature 18 Saturday, October 20, 2012 03:03 PM
Frequently Asked Questions (FAQ) on Ahmedis (Qadianis) saadat110 Islam 1 Wednesday, April 23, 2008 01:43 AM
250 Signs Of The End Times... Chilli Islam 0 Thursday, May 04, 2006 09:36 PM


CSS Forum on Facebook Follow CSS Forum on Twitter

Disclaimer: All messages made available as part of this discussion group (including any bulletin boards and chat rooms) and any opinions, advice, statements or other information contained in any messages posted or transmitted by any third party are the responsibility of the author of that message and not of CSSForum.com.pk (unless CSSForum.com.pk is specifically identified as the author of the message). The fact that a particular message is posted on or transmitted using this web site does not mean that CSSForum has endorsed that message in any way or verified the accuracy, completeness or usefulness of any message. We encourage visitors to the forum to report any objectionable message in site feedback. This forum is not monitored 24/7.

Sponsors: ArgusVision   vBulletin, Copyright ©2000 - 2024, Jelsoft Enterprises Ltd.