View Single Post
  #1  
Old Wednesday, August 09, 2006
QamarCheema's Avatar
QamarCheema QamarCheema is offline
34th Commons (PAAS)
CSP Medal: Awarded to those Members of the forum who are serving CSP Officers - Issue reason: Qamar Riaz.........Merit 124....Audit and Account--CSS 2005Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Nov 2005
Location: in your hearts
Posts: 70
Thanks: 12
Thanked 160 Times in 32 Posts
QamarCheema is a jewel in the roughQamarCheema is a jewel in the roughQamarCheema is a jewel in the rough
Default Majeed Amjad -- My Fav Poet

Matrooka Makan

Yeh muhlay’ yeh garoonday’ yeh makan
Hum say pehlay bhi yehan
Bus rahay thay such bharay aangaan’ sunehri bustian

Janay walay ghar ki chahat say tahi pehloo na thay
Itnay bayqaboo na thay
Rookta kon? Jhuki mahraab kay bazoo na thay

Is atal honi ki zanjeeron mein jakray qaaflaay
Saath lay jatay isay
Baat sirf itni ka iss dewaar kay paoon na thay

Ab who rohein gonjtay jhakar mein gulti siskian
Un kay maskan yeh makan
Munhadam adwaaar kay mulbay pay jalti arthian

Rakh hoti hudeon kay garm garay mein gundhi
Girtay ashkoon mein dhallle
Ab yehien eentaain hamari azmat-e-aftaadgi

Par gaey eentooon kay muratay zaweon kay bus mein hum
Bhool gaey sub apnay gham is daam-e-khishat-o-khass mein hum
Bhir gaey aapas mein hum

Yeh muhlay’ yeh mandairein’ yeh mahal’ yeh mandlian
Kon dekhay ab yehan
Khinch gaein kitni dewaarein diloon kay darmeyaan

Bhar leiy hum nay in ewaanooh mein jitney thay shigaaf
Kon dekhay assmaan ki chaaat mein hein kitnay shigaaf


Selection from "Amrooz" by Majeed Amjad

Qamar
Reply With Quote