View Single Post
  #1  
Old Sunday, December 05, 2010
Farrah Zafar's Avatar
Farrah Zafar Farrah Zafar is offline
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default My Notes in Points

Andaaz e Meer ki khasoosiaat

1)saadgi khaloos aur sadaqat;

--fani khaloos se muraad hai k shaair zindagi k waaqiaat ko jis tarah dekhta hai usi tarah bayaan karay.
--takalluf aur banawat se paak,betakullfi ka andaaz
--awaam ka shaair
--chand alfaaz mein jahaan e maa'ni paida ker daita hai..


Examples

kaha mein ne kitna hai gul ka sabaat,
kali ne ye sun ker tabassum kia..

Meer un neem baaz aankhon mein,
sari masti sharab ki si hai...

Nazuki us k lab ki kia kahiye,
pankhrri ik gulaab ki si hai..



Aam lehja aur bol chaal ka andaaz;

--awwal mozuaat aisay chunay hain jo aam insano k rang e tabeeat k mutabiq hain
--doam un ko bayaan kernay ka andaaz'aam lehja or bol chaal ka andaaz hai
--baaton ka sa andaaz hai..."mian payaray"...."aray"..."aap" ki bijaye "tum"..."tum" ki jaga "Tu" istemaal kar k be'takullafi aur manoos fiza paida ki hai


examples;

baaten hamari yaad rahen'phir baaten aisi na sunye ga,
parhtay kisi ko sunye ga tou daer talak ser dhunye ga

jo is shor se Meer rotaa rahay ga,
tou hamsaya kahay ko sotaa rahay ga.


Pur lutf pirayaa adaa;

chaltay ho tou chaman ko chalye suntay hain k bahaaran hai,
paat haray hain phool khilay hain kam kam baad o bahaaran hai


khatabia andaaz;

khatab aur guftugu ka andaaz_kabhi khud se mukhatib aur kabhi doosray se

examples;

mein wo ronay wala jahan se chala hun,
jisay abr her saal rotaa rahay ga


Tashbeehat o istaa'raat;

khilna kam kam kali ne seekha hai,
us ki aankhon ki neem khawabi se

sham se he bujha sa rehta hai,
dil hai goya charagh muflis ka


Moseeqi aur ghanayyat;

--aahista ravi,subuk kharami,tarannum,shaairi ki laey dheemi aur dil gudaaz
--choti aur lambi dono qism ki behroan ka istemaal
--choti behroan wali ghazlon mein khoon e dil aur boo e dil ki kaifiyat ziada hoti hai..musarrat ka ehsaas nae...sarapa dard...gham he gham

examples(choti beher)

ashk aankhon mein kab nahi aata,
lahu aata hai jab nahi aata
dil se rukhsat hui koi khawahish,
giryaa kuch be'sabab nahi aata


(bari beher)

patta patta boota boota haal hamara janay hai,
janay na janay gul he na janay baagh tou sara janay hai


Meer ka zamana aur mahol;

--Meer ka ehad sayasi,samaaji,mulki aur muaashi aitbaar se sakht inteshar aur afratafree ka ehad tha.
--mughal markez kamzor par chuka tha


Meer ka tassawur e zindagi;

ye kehna darust nae k meer qanooti shaair hain...gham o alm ka ziker tou hai mger tassawur e zindagi mayoos kun nae

mustanid hai mera fermaya hua,
saray aalam pe hun mein chaaya hua
__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to Farrah Zafar For This Useful Post:
fiza mehar (Monday, March 28, 2011), Waleed92 (Thursday, December 01, 2016)