View Single Post
  #11  
Old Friday, April 08, 2011
Farrah Zafar's Avatar
Farrah Zafar Farrah Zafar is offline
Makhzan-e-Urdu Adab
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: May 2010
Location: امید نگری
Posts: 2,362
Thanks: 2,346
Thanked 4,047 Times in 1,576 Posts
Farrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud ofFarrah Zafar has much to be proud of
Default

Quote:
Originally Posted by sibgakhan View Post

mussarat e paiham=lagataar/mutwatar khushi
Gudaaz=naram
hajoom e yaas=naa'umeedi ka hajoom
wufoor e dard=dard ki bohtaat/kasrat
Seemaab=paaray ki tarah be'qarar
shabaab=jawani
shaad=khush
faraib e waada e farda=mustaqbil k waaday ka dhoka

Tashreeh:

Is nazm mein Faiz apnay mehboob se mukhatib hain.Shaiyir kehta hai k jis kaifiyat se mujhe guzerna para,meray mehboob pe wo kaifiyat na aye.tumharay chehray pe udasi ka basaira na ho.Tum jo khushgawar kaifiyat mein rehti ho,khuda na karay k is kaifiyat ka ikhtamam ho.Shaiyir dar'parda apni kaifiyat bayan ker raha hai k Ishq mein wo kis qadar nidhaal hai aur wo nahi chahta k us ka mehboob bhi wo takleef bardasht keray jo shayir ker raha hai.
shaiyir kehta hai k khuda na karay jo us k mehboob ki jawani dhalay ya gham us ki zeest ka muqaddar ban k reh jayen.Ya us ka gharoor aajzi mein dhalay.Shaiyir ki ye dua us k dard ko zahir kerti hai k us k liye muhabbat ki saza kis qadar karri hai.wo kehta hai k tujh pe meray mehboob wo waqt na aye k tujhe b kisi jhootay waaday k saharay umer baser kerni paray.Baqol Ghalib;

teray waaday pe jiye ham tou ye jaan jhoot jaana,
k khushi se mar na jatay ager aitbaar hota....

aakhir mein shaiyir apni jaanib ishara ker k kehta hai k khuda karay tujhe kabhi ye yaad na aye k mein ab bhi teri zulfon k saaye ka talabgaar hun.aur ab bhi mera dil teray wisaal k liye tarrapta hai.tujhe kabhi yaad na aye k meri ankhen teri deed ko tarasti hain.baqol Faiz;

Tum aaye ho na shub`e intezaar guzri hey
talaash mey hey sahar, bar bar guzri hey

__________________
Love is my Shield,Truth is my Sword,Brain is my Crown,Smile is my Treasure and I'm a Queen;
Quitters never win and Winners never quit..!!!
Reply With Quote