View Single Post
  #76  
Old Friday, May 20, 2011
Future's Avatar
Future Future is offline
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Mar 2009
Posts: 701
Thanks: 371
Thanked 611 Times in 357 Posts
Future is a name known to allFuture is a name known to allFuture is a name known to allFuture is a name known to allFuture is a name known to allFuture is a name known to all
Default

Quote:
Originally Posted by Farrah Zafar View Post
ye is sense mein kaha gaya tha "Love is blind".Insan ka dimagh sath chorr jata hai aur dil hakoomat kernay lagta hai.isi liye beloved ki burayiyan b buri nae lagteen.ager teen age mein ye virus lag jaye tou ye jumla 100% theek hai "muhabbat sochnay samjhnay ki salahiyat cheen leti hai"...akhbaraat mein aye din chapnay walay waqiyaat is ka moun bolta saboot hain

Ishq ne Ghalib nikamma ker dia,

werna ham b aadmi thay kaam k
muhabbat andhi nahi hoti, ye to insaan ke tamam hisasyat ko taeez kar daiti hai, us ke nazar mahboob ke dil tak safar karti hai aur wo jazbat daikhti hai jo muhabbat ke begair daikhna namumkin hai. muhabbat insaani soch ke irtiqa karti hai aur soch ko yaksui daiti hai. muhabbat nakami ka naam bhi nahi, ye to log apni nakamiyo ko bhe muhabbat ke khate mein daal daite hain.

ye akhbari waqiat muhabbat mein kamzoori ke wajah se paish ate hain. wo log to abhi muhabbat ke maktab me dakhil be nahi huy hote aur khud ko khatam kar laite hain. sochney samjhne ke salahiyat in logo ke he khatam hoti hai. ye kuch literature aur filmi asar hota hai, jo kuch read kiya aur watch kiya us ka asar liya aur waisa he kiya. aisi muhabbat to aaj kal kafi aam hai.

Muhabbat constructive hoti hai destructive nahi