View Single Post
  #83  
Old Friday, November 18, 2011
alphabravo alphabravo is offline
Senior Member
 
Join Date: Sep 2011
Posts: 246
Thanks: 1
Thanked 75 Times in 55 Posts
alphabravo is on a distinguished road
Default

Quote:
Originally Posted by Farrah Zafar View Post


حوصلہ افزائ کا بہت شکریہ ۔ بندی فرصت میں شاعری کی تکنیکوں کا مطالعہ کرے گی اور اپنی خامیوں کو درست بھی ۔

آزاد نظم کے بارے میں آپ کا کیا خیال ہے ؟ عام طور پر یہی کہا جاتا ہے کہ اس میں بحر ،وزن کی بندش نہیں ہوتی لیکن میرے مطالعے اور کچھ اہل ذوق کے مطا بق اس میں بھی وزن کا خیال رکھنا پڑتا ہے ،قافیہ ردیف کی بندش نہیں ہوتی ۔ ۔
میں آپ کی راۓ جاننا چاہتی ہوں ۔ دراصل مجھے آزاد نظم میں بے حد دلچسپی ہے اور میرے پاس موضوعات بھی متنوع ہوتے ہیں ۔مسئلہ وزن کا ہے ۔ ۔

Salam ,
sahee kaha apne azad nazm k baare mein.

Azad nazm mein...."azaadi" ke saath saath "nazm" bhee barqarar rakhna padta hai. Yeh "nazm" hee usmein ek rhythm, aur ek "sautee" kashih le aata hai.
Jab baat do misron mein wazahat ke saath na kahi ja sake , to azad nazm kee taraf tawajjoh kee ja saktee hai. Azad nazm ke liye chunke koee bandhe taake usool nahin hain,lehaza mashq ke saath isme chamak paida hotee hai. Baaz azad nazmein ek derpa asar chortee hain quaree kzehn per.

Jab baat do misron mein kahee ja sake...tab bhee azad nazm mein kaheee gayee baat ek inferadiyat rakh saktee hai.

Baaz log ashaar theek tarah se nahin padh paate...koee na kooe additional lafz masaalan "k" waghairah beech mein laga detein hain...aur unhein bura bhee nahin lagta....halanka unmein ashaar ko samajhne ka ek sha-oor hota hai magar bahr se be-bahra hotein hain kisi hud tak....

Aise logon ko k liye azad nazm jai panah ho saktee...takhleeq bhee hogee aur bandish se kisi had tak azaadee bhee.

Iska yeh matlab nahin k her azad nazm likhne wala aisa hee hota hai...ilme urooz se pooori tarah waquif log bhee azad nazm likhte hein.
Mesal k taur per Kaifi Azmi...Parveen Shakir....

Wassalam
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to alphabravo For This Useful Post:
Farrah Zafar (Friday, November 18, 2011)