View Single Post
  #20  
Old Thursday, January 05, 2012
Arain007's Avatar
Arain007 Arain007 is offline
Czar
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2010
Location: Venus
Posts: 4,106
Thanks: 2,700
Thanked 4,064 Times in 1,854 Posts
Arain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant futureArain007 has a brilliant future
Default

Quote:
Originally Posted by Princess Royal
Jo cheez aap ko Islam aur Allah kay qareeb laye gi shayad mujhey na laye and the vice versa. Kesi say sunni hoi koi baat, kahin perhi hoi koi baat, kesi ki zindagi ka koi hadsa, apni zindagi ka koi hadsa, youtube per koi video, blogs per koi article, etc etc. En mein say koi bhi cheez aap kay liye hadayat ka zarya bun sakhti hai aur koi bhi meray liye.
I am agreed with you on this thing. But aik dafa attract honay k baad hmain ye adat nhi bnani chahiay. bl-kay next steps bhi lenay chahiay hein. Allah jb kisi k liay Hadayat ka darwaza kholta hy tu phir Insaan ko bhi us opportunity sy faida uthana chahiay hy. Ap ny dekha ho ga k jb Non-Muslims Islam ki taraf kisi b waja sy attract hotay hein, phir wo Islam k baray ma research krnay lg jatay hein. aur last ma usy accept kr letay hein.

Ap ki ye baat b bilkul saheh hy k hr Insaan ko koi specific source hi attract hota hy. Ap ny Hazrat Bishr Hafi (R.A.) ka waqia suna ho ga. Wo aik dunya daar shakhs thay lekin aik dafa sirf aik paper (jis pr Bismillah likha hua tha) ki tazeem ki waja sy Walli Allah bn gy. Read here Hazrat Bishr Hafi (R.A.). Allah ny jisay seedha rasta dikhana ho us ka sabab paida ho hi jata hy.

Aj kal hm tu Quran ko sirf dunya hasil krnay ka zarria samjhtay hein. Kuch years pehlay ma ny suna tha k Surrah Rahman ki tilawat ko Qari Abdul Basit ki awaz ma sun-nay ka bohat faida hota hy. Kuch log wo Surah sun kr bemari ka illaj kr rhy hein. Jb log is waja sy Quran sunain gy tu phir ap hi socho k kya ye saheh hy?

Ma ny aksar logon ko dekha hy k subah universities/offices ko jatay hoay headphone lagya hota hy. Pocho tu pata chalta hy k Tilawat sun rhy hein. Lekin rah chaltay nazar k gunah sy nhi bachtay. Aur jo females hein un ma sy bohat km ki dressing Islamic hoti hy. Kuch shops pr subah Tilawat lga di jati hy k is sy barkat ho gi. Lekin sara din wo shopkeeper jhoot bolnay aur milawat sy phir bhi baaz nhi ata.

Agr log is trah ki harkatain krein gy, tu unhay Quran ki tilawat sun-nay ka kya faida? Wo tu sirf apnay gunahoon ma hi izafa kr rhy hein.


Quote:
Originally Posted by Princess Royal
Yeh bhi maana kay dosaray ko rokna aur sach batana farz hai, per bajaye yeh kehnay kay kay "you're being disrespectful to Quran tumhein gunnah ho ga" or blah blah hum agar yehi baat es andaaz mein keh dein kay "agar tum dehaan day ker souno gay tou aur sakoon paao gay" something of this sort. Jis say agla chiray nai aur jo pehlay step liya hai ushi say wapis mur jaye. I mean logoon ko thori space tou daini chahiye na and let them discover things and come with total submission aur jaisay mein nay upar kaha kay har koi mukhtalif raastay say aata hai Allah ki taraf.
Agreed with you. But hmaray aj kal k Aalim hazrat Islam ko true sense main paish hi nhi kr rhy hein. Wo apni speeches main sirf Jannat aur Dozakh ka hi btaty hein. Wo Haqooq Allah ki baat tu baray zor-o-shor sy krtay hein. Lekin Haqooq-ul-Ibaad ko importance nhi detay. Log b yehi samjhtay hein k bs 5 times namaz parh li aur bs ab hm Jannat ma jain gy. Baqi wo jo gunah krtay rehtay hein un ki unhain fiqar hi nhi hoti.

Ab isi trah k kisi Aalim ny ye baat phela di hy k Quran sun lya karo is sy faida ho ga. But hmaray log jis trah sy isay follow kr rhy hein wo oper ma ny btaya hy.

Mera point hy k kya hm log itna nhi kr sktay, k jo time hm Quran sun-ny ma guzartay hein. us ki bajaey hm sirf Quran ka aik page parh lein. Mobile py Quran sun-nay ka itna faida nhi ho ga jitna us aik page parhnay ka ho ga. Wo thora sa Quran parh kr hmray andar ziada detail ma jan-ny ki khawahish paida ho gi. jb k Quran sun kr hm sirf Subhan Allah hi kahain gy aur bs phir apnay kam py lag jain gy. Hmain zarra b samjah nhi ay gi k hm ny jo sunna hy us ka matlab kya tha. Agr hmain Arabi ki samjh hoti tu phir beshak Quran suntay. Lekin hm Arabi nhi hain tu phir Quran sun kr kya samjh ay gi. Is liay meray khayal main hmain Quran ko parhnay ki koshish krni chahiay hy. Start main hm 1 page daily parhtay hein tu ahista ahista shouq brhay ga tu hm ziada prhnay lg jain gy.
__________________
Kon Kehta hy k Main Gum-naam ho jaon ga
Main tu aik Baab hn Tareekh mein Likha jaon ga
Reply With Quote
The Following 2 Users Say Thank You to Arain007 For This Useful Post:
mjkhan (Thursday, January 05, 2012), Princess Royal (Thursday, January 05, 2012)