View Single Post
  #18  
Old Monday, January 09, 2012
Da Skeptic's Avatar
Da Skeptic Da Skeptic is offline
Senior Member
 
Join Date: Oct 2011
Location: دیار ِ آرزو
Posts: 258
Thanks: 271
Thanked 258 Times in 157 Posts
Da Skeptic will become famous soon enoughDa Skeptic will become famous soon enough
Default

Quote:
Originally Posted by siddiqui88 View Post
Islami taleemat kehti hai k farishtay Allah k takht ko uthay hoay hain(kon janay 'Takht" ks cheez ka istiara hai?) ijram e falki aur tmam tar makhlooqat us ka tuwaaf krtay hain. Science kehti hai k tmam galaxies, nebulas, sb kuch bht bray aur bht roshan markaz k gird chakar lga rha hai, kon jany yahen khuda ho? koun janay ye b mehz us ki takhleeq ho? Science kehti hai k kainat mehdood hai aur uska daira10 over 25km tk hai. kon janay us se bahir kia hai?Kon janay khuda is k andar hai,bahir hai ya dono traf? kia ap ,me ya koi b is ka faisla kr skta hai?to us k wajood k jamid ya mujarrid honay k baray me faisla hum kesay kar sktay hain?kon janay wo jaamid hai mujarrid ya is se b agay ki koi cheez.jandaar, be jaan aur rooh k apnay mehdood ilm ko hum us hasti pe kesay laago ker sktay hain jo hmaray idraak se bahir hai?
Emaan ye hai k hum us k honay aur EK honay ko maanen.



Allah nay khud apnay liye adad istemaal kia hai aur wo adad hai "1"( keh do k Allah ek hai). Is adad se agay berhna (2,3,4...) Shirk hai, aur is se peechay hatna(0) Ilhaad....

Wahdatul Wajood aur Wahdatu Shahood dono me he hmen zaat e bari taala ko smjhnay ki justajoo nazar ati hai. Agar shoraa kram nay in me se ksi ko apnay ifkaar me pesh kia hai aur hum us ki wazaahat krtay hain tou uska ye matlb nhe k hum us nuqta nazar ki perwi b kr rahay hain.

Doosri baat ye k shairi ko her ek apnay andaz se lay skta hai, agr wo mantaqi nuqta nazar he to qabil e taref hai. Me bazaat e khud usi tanazur me ghalib k is sher ko dekhti hn jo jo me nay apni post me likha. Farah's perspective is agreeable as it is logical.thats it.
Pehli baat to ye hai k mere ilm me esa kch nahi k Islam ye kehta ho k Allah ka koi takht hai aur Farishte ose uthaye hve hote hain.. mere azeez, kiya Islam ye nahi kehta k Khuda hr jaga Mojod hai? Ap ne to Khuda ko zaman o makan ki qaed me keh diya..
Dosri baat ye hai k Khuda ne apne liye 1 ka number kabhi use nae kiya.. Arabic se Urdu me translate karte hve 1 likha gaya hai.. Arabic me 1 ko "wahid" kaha jata hai, Khuda ne Quraan me ye nai kaha k "qul huwallahu wahid" balki ye kaha hai , "qul huwallahu ahad", wahid ka lafz nae use kiya, ahad ka lafz use kiya hai, jis k mani tanha aur akela k hain..
Teesri baat ye k mujhe is bat se koi ikhtilaf nahi k har kisi ka apna nuqta e nazar hota hai.. is tarah jo wazahat Farah ne ki hai wo un ka apna nuqta e nazar hai.. aur isi tarha mera b.. aur mujhe nae lagta k Galib ne Wehdat ul Wajood ya Wehdat ul Shahood k nazriye k hisab se vo she'r kaha ho kiun k Galib ne esi bat aur kaheen nae ki.. aur zaruri ye b nae k Galib ki bat aur koi nazriya aik jese lag rahe hoon to ye kaha jae k Galib ne vhi nazriya k tehet kaha ho.. lekin me janta hun k me jo keh raha hun ye b zaruri nae k durust ho.. magar meri mantiq yahi kehti hai..

Khuda Quraan me farmata hai,
"yani wo aisi zaat hai jo aasman me bhi mabood hai aur zameen me b aur wo hakeem o aleem hai" (Surat: Zakhraf, Aayat:84)

"Yani wo tumhare sath hai khwah tum jahaan b ho aur jo kuch tum karte ho Khuda os se aagah hai" (Surah: Hadeed, Ayat: 4)

"Yani aankhen ose nahi daekhtin lekin wo ankhun ko daekhta hai...." (Surah: An'aam, Aayat: 104)

"Yani tum mjhe hargiz nahi daekh sakte.....(Musa A.S ne) arz ki k Khudaya tu to is se munazza hai k ankh se daekha ja sake......." (Surah: A'raaf, Ayat: 143)

In tamam aayat ki roshni me keh raha hun k Khuda Jism nahi rakhta.. Beshak aql e insani os zaat tak nahi pohnch sakti, lekin me apni aql e aajiz o naqis ki baat nahi, Quran ki aayat paesh kar raha hun
__________________
"So my birth was the first of all my misfortunes". (Jean Jacques Rosseou)

Last edited by marwatone; Tuesday, January 17, 2012 at 02:35 AM. Reason: Posts merged.
Reply With Quote