View Single Post
  #45  
Old Wednesday, February 29, 2012
mhmmdkashif mhmmdkashif is offline
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2006
Posts: 1,549
Thanks: 618
Thanked 1,122 Times in 674 Posts
mhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud of
Default

aik misal haazir-e-khidmat hai . hamare mulk main kitne agriculture graduates hain jo berozgar phir rahe hain aur nokrian na hone kaa rona rote rehte hain aur siasat karte phirte hain yaa phir pesticide companies join kar lete hain jo ke bunyadi tor pe chemical companies hoti hain, magar hamari agriculture abhi tak purane tariqon se manage ho rahi hai. is se bari sitam zarifi aur kia ho sakti hai ke koi aik graduate bhi entrepreneur ban ke apne illaqe main field management kee company qaim nahin karta. agar koi aik company aisi ban jaaye jo ke corporate usulun pe qaim ho to woh landlords se contract haasil kar sakti hai aur local labor hire kar ke zaminen sambhal sakti hai aur jadid tariqe istimal kar ke production bhi barha sakti hai. is se aur logun ko rozgar bhi mile gaa aur economy kaa aik sector jo apni marzi aap ke tahat laissez-faire usulun pe chal raha hai woh bhi thora usulun pe chale gaa aur agriculture income pe state ko jo tax nahin milta woh bhi aana shru ho jaaye gaa. local logun ko bhi shoq hoga ke woh taalim haasil kar ke company main aage barhen. aik company kee kamyabi se dusri companies banen gee aur gradually aik ache culture kee bunyad bhi pare gee . middle class ko siasi tabdili kaa intezar karne ke bajaye apne aap ko mobilize kar ke society main in karna pare gaa, warna to koi nahin laata tabdili .
__________________
The precondition for existence of a higher humanity is not the state, but the nation possessing the necessary ability.
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to mhmmdkashif For This Useful Post:
mjkhan (Wednesday, February 29, 2012)