View Single Post
  #47  
Old Wednesday, February 29, 2012
mhmmdkashif mhmmdkashif is offline
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2006
Posts: 1,549
Thanks: 618
Thanked 1,122 Times in 674 Posts
mhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud of
Default

Quote:
Originally Posted by mjkhan View Post
How can middle class assert itself broader in the society or how can we break the monopoly of elite in a free economy?
And do you term newly born private electronic media of PAK as an assertion of middle class?
take a deep look at Pakistani society and you will notice one thing, yahan pe larne ke liye saste fighters buhut mil jaayen ge laikin organizations ko workers nahin milte aur na hee kaam karne waalun kee qadar hoti hai . try to think about the reasons and you will find out many things , hamari soch hee aisi hai ke wasail ke maalik ban kar ke paisa banayen, khud apni mehnat aur skill se kisi position pe puhunch ke nahin . laa qanuniat is liye hai ke Feudal brute force use karte hain aur middle class legal taqat use karti hai, magar middle class kaa influence society pe kam hone kee waja se yeh situation hai . hamari middle class ke andar bhi feudal soch janam le chuki hai. har insan kee koshish hoti hai ke woh samaji aur muashi tor pe apna status barhaye. shru ke waqt main government ko human resource kee zarurat thi to logun ko aage barhne kaa aik raasta nazar aata tha ke degree leke sarkari nokri kar lo, magar muashi tor pe aage barhne ke chances economy phir bhi nahin deti thi. jin logun ne phir government service join kee unhoon ne rishwat lena shru kar di aur apni zaminen banani shru keen, phir Feudals ne un ke sar pe bhi haath rakhna shru kia, is tarah se Feudals kee grip na sirif economy aur society balke state pe bhi mazboot hoti gayi aur muashre main naa insafi ko farogh milta gaya. ab situation aisi ho gayi hai ke government jobs aik to itni ziada nahin jo sab ko adjust karen aur jo hain un pe maara maari buhut ho gayi hai, aur jo educated tabqa yahan pe wajood main aaya us main bhi Feudal soch janam le chuki hai. Media aik ray of hope hai, magar khuda kare yeh bhi haath se nikal na jaaye aur in ko ihsas ho ke middle class ko Feudal banne se bachaye aur us ko society aur economic setup main insert karwa sake. meri nazar main paisa kamana har insan kee khuwahish hai laikin wasail pe qabza karke maalik ban ke maal banana Feudal soch hai , is liye economy ko aik aisa setup banana chahiye ke wasail kisi ke qabze main na hon aur behtar manage hon aur un se banne waala paisa sahi tor pe society main kaam aaye .

I am just telling my personal views dear, so don't take anything seriously .
__________________
The precondition for existence of a higher humanity is not the state, but the nation possessing the necessary ability.
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to mhmmdkashif For This Useful Post:
mjkhan (Wednesday, February 29, 2012)