View Single Post
  #49  
Old Wednesday, February 29, 2012
mhmmdkashif mhmmdkashif is offline
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Oct 2006
Posts: 1,549
Thanks: 618
Thanked 1,122 Times in 674 Posts
mhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud ofmhmmdkashif has much to be proud of
Default

Quote:
Originally Posted by mjkhan View Post
yahan par wohee purana masla khara ho jaey ga jo waderay, jageerdar aur istashalee tabqa jo pehlay moonchey aur darhee rakhtey they aur apney interests k liye assemblion ma directly ya indirectly pohanch gaey they.ab wohee tabqa pent coat pehan kar aur moonchey dari katwa kar corporation bana la ga aur hum parhey likhay masoom phir reh jain gey aur sath hee sath corporations kee monopoly ya oligopoly qaim ho jaey gee aur jo faida is waqt hum free market forces sa utha rahey hain qeematon k taiyun k mamley ma us sa bhi hath dhoo bethain gey aur sath hee sath chohtey kashtkar bhi baree corporations k hathoon blackmail hon gey..
jahan tak sawal hai public companies ka to us silsalay ma adam smith k corporations k barey ma hadshaat PAK jesi country ma 100 feesad durust sabit hon gey kiu k as we know waderay etc to hain hee istashali...

(ma ap k idea sa bilkul mutafiq hon.infact yehee idea meray zehan ma bhi tha par sawal karnay ka maqsad sirf ye hai k jo bhi drawbacks hon ap k proposal ma un par bhi behas ho jaey ta k hamarey zehno ma jo ap na idea diya hai us k baray ma ziada sa ziada clarity a sakey.isi waja sa ma jan jan kar bhi tanqeed kar raha hon ta k is idea ko mazeed refine kiya ja sakey..hope you dont mind.hehe)
maine isi liye likha tha ke middle class legal taqat use karti hai aur Feudals brute force use karte hain. agar society main upper aur lower class ke darmian middle class bhi hogi to is waqt jo brute force kaa use aur laa qanuniat itni ziada hai kam az kam yeh to itni nahin hogi . aur middle class ke beech main aane se is waqt jo society main itni polarity hai (aik Feudal sab ko qabu kiye hue hai ) kam az kam yeh to nahin hoga, baqi problems to har society main hote hain . buhut saare problems kaa hal hamain islam aur iman se bhi mil jaaye gaa jo ke hamain maghrib se bhi behtar muashra bana sakta hai . (I dont mind at all, I am trying to learn my self )

Quote:
Originally Posted by mjkhan View Post
yahan par wohee purana masla khara ho jaey ga jo waderay, jageerdar aur istashalee tabqa jo pehlay moonchey aur darhee rakhtey they aur apney interests k liye assemblion ma directly ya indirectly pohanch gaey they.ab wohee tabqa pent coat pehan kar aur moonchey dari katwa kar corporation bana la ga aur hum parhey likhay masoom phir reh jain gey aur sath hee sath corporations kee monopoly ya oligopoly qaim ho jaey gee aur jo faida is waqt hum free market forces sa utha rahey hain qeematon k taiyun k mamley ma us sa bhi hath dhoo bethain gey aur sath hee sath chohtey kashtkar bhi baree corporations k hathoon blackmail hon gey..
jahan tak sawal hai public companies ka to us silsalay ma adam smith k corporations k barey ma hadshaat PAK jesi country ma 100 feesad durust sabit hon gey kiu k as we know waderay etc to hain hee istashali...

(ma ap k idea sa bilkul mutafiq hon.infact yehee idea meray zehan ma bhi tha par sawal karnay ka maqsad sirf ye hai k jo bhi drawbacks hon ap k proposal ma un par bhi behas ho jaey ta k hamarey zehno ma jo ap na idea diya hai us k baray ma ziada sa ziada clarity a sakey.isi waja sa ma jan jan kar bhi tanqeed kar raha hon ta k is idea ko mazeed refine kiya ja sakey..hope you dont mind.hehe)
Pakistan main upper class ko siasat, maeeshat aur society pe direct control haasil hai aur middle class ne apne aap ko band kia hua hai. Upper class (sarmaya daar, jaagirdar, owner) hamesha opportunist, shaatir aur istehsaali hote hain, woh sirif jor tor aur qabza karna aur taqat hasil karna jaante hain aur un ke dimagh main koi insaniat kuch nahin hota aur Lower class (workers) bher bakriun jaisee hoti hai laikin yeh middle class hoti hai jo ke bher bakriun aur charwahe ko insanun kee qom banati hai . middle class ke pass sarmaya yaa taqat nahin hoti magar education, aqal aur shaoor hota hai jis se woh lower class ko upper class kee bher bakri banne se rokti hai aur us ko properly manage karti hai aur logun main shaoor aur insaniat ko barqarar rakhti hai aur un ko dunya main hone waali tabdilion aur nazriat se bhi aagah rakhti hai. middle class hee qom kee direction tay karti hai magar is ke liye zaruri hai middle class kaa influence society main har jaga mojud hona. hamari middle class taqatwar aur talented zarur hai magar us ne apne aap ko government, corporations, banks, media, multinationals, expats, NGOs aur rone dhone (is waqt jo bhi halaat mulk ke hain in se sab se ziada mutasir middle class ho rahi hai, lower class ke log apna kaam chala lete hain un kaa koi nahin lena dena baqi cheezon se aur upper class to khair waise bhi koi nahin fikar, ziada ho gaya to bahar bhaag jaayen ge) kee had tak mehdud kar liya hai aur maghribi tarz zindagi apna ke baqi society se khud ko alag kar dia hai aur baqi society ko laissez-faire terms pe chor dia aur kabhi aage barh ke puri society kee management sambhalne aur upper aur lower class ke darmian aane kee serious koshish hee nahin kee jis se logun kee buhut bari majority upper class Feudal kee bher bakriyan ban gayi hain aur mulk un kee jaagir ban gaya hai. yeh Feudal tabqa kabhi bhi nahin chahe gaa ke is mulk main industries qaim hon yaa aise halat hon jin main mulki maeeshat behtar tor pe manage ho sake kiyunke is se in kee taqat ko khatra ho jaata hai. hamari middle class bhi jab apne is government aur corporations ke mehdud daaire se bahar nikalti hai to Feudal kee tarah sochne lagti hai aur society ko hakarat ki nazar se dekhti hai laikin jab offices main bethte hain to mulki halat pe rote rehte hain . ab zarurat is baat kee hai ke taalim yaafta tabqa apne andar hosla paida kare har mean of production aur business chahe woh agriculture ho, transport ho, services sector ho yaa chahe zindagi kaa koi bhi shoba ho, us main daakhil ho jaaye aur upper class (sarmaya daar) ke role ko sarmaya lagane aur overlooking karne (Board of Directors ) kee had tak mehdud kare taake woh apni makkaari directly workers ke zehen main na bhare . Private aur small businesses ko ziada se ziada discourage karke logun ko bari corporations main mulazimat mile aur merit pe promotions hon taake sab kaam karna seekhen aur taalim aur hunar se aage barhnen, chori daake yaa udhar leke paisa jaidad bana ke nahin. Economic law aur rights management ko enforce karne ke liye judiciary kee aik branch banai jaaye (jaise sharai law ke liye hai). isi tarah se hee siasat aur samaj se in istehsal karne waalun kee giraft waqt guzarne ke saath kam hogi aur logun main kuch shaur aaye gaa . India ke political system kee continuity hee is liye rahi ke wahan pe aise istehsaali tabqe kee puri society, economy aur politics pe grip nahin thi aur wahan kee mazboot middle class kaa society aur politics pe influence tha aur ab din ba din barhta jaa raha hai, jab ke hamari middle class ne apne aap ko mehdud kar ke siasat aur mulk ko chand jaahil logun kee milkiat bana ke rakh dia jo ke kuch samajhte hee nahin aur har baat pe maara maari shru karwa dete hain . jab apne haan hee itne saare resources jahilon ke qabze main pare hain to pehle in ko chalana aur apni manpower train karna ziada behtar hai yaa FDI kee bheek kaa intezar behtar hai .


Baqi rahi corporations kee monopoly, us ko manage karna government ke liye nisbatan ziada aasan rahe gaa bajaye in bhenson ke aage been bajane ke . Jaise jaise Feudal grip politics aur society se kamzor hoti jaaye gee waise hee government kaa aik naya welfare roop bhi logun ko nazar aane lage gaa aur aik behtar society wajood main aane lage gee .
__________________
The precondition for existence of a higher humanity is not the state, but the nation possessing the necessary ability.

Last edited by Umer; Thursday, March 01, 2012 at 04:08 AM. Reason: chain posts
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to mhmmdkashif For This Useful Post:
mjkhan (Wednesday, February 29, 2012)