View Single Post
  #5  
Old Saturday, February 24, 2007
nazia niazi's Avatar
nazia niazi nazia niazi is offline
Senior Member
 
Join Date: Nov 2005
Posts: 199
Thanks: 21
Thanked 18 Times in 12 Posts
nazia niazi is on a distinguished road
Default "taraqi Pasand Adab

Quote:
Originally Posted by zahid khattak
now i want some knowledge from u ..can u discuss something abt "TARAQI PASAND ADAB" what it is and how it started ..and main features of it ...is it some what related to "romantic movement in english " started be words worth and colridge ?
i will appreacte uur scholerly discussion about the topic
regards
zahid
"TARAQI PASAND ADAB"" HAqeeqat Nigari" aur Inqalabi tehreek ka Muharik hay,Jab fard aur Aqwaam ki Moaashi azaadi ko asal Azaadi qaraar dia gia,aur yeh mallom hua k mooashara sirf do tabqon "HAVE and HAVE NOT" main taqseem hua hua hay aur yeh k Insaan apnay Mahol ki paidawar (product)hay aur iss ka sara samaaji aur nafsyati wajood iss Moashhi nizam ka marhoon e minat hay,jis main wo parwaan charha hay tu adab k maqasid aur un k hasool k tasawr main tabdeeli paida hui hay aur haqqeqat nigari k zareeay Fikar main infradi aur ijtamaai ghulami say nijat hasil karna iss ka asal maqsad hay,
Taraqi pasand tehreek nain.adab ki moaashray main zaroorat aur iss k maqasad ko new siray say muratab kia.
Tarqi pasand adab asal main apnay moaashary k positive values ka sath deta hay aur old rawaaiaat jo moaashary ki taraqi ki rah main rukawat hon ki mukhalfat karta hay.
Taraqi pasand adab har zamaanay ka hisa hay coz har zamanay main kuch aqdaar gher zaroori uar jamid hu jati hain aur new ideas janam laitay hain.

(JAHAN TAK MERA KHAYL HAY)

Thanx
__________________
Main Ishq_e_kaainat main zanjeer hu sakoon
Mugh ko Hisar-e_zaat k Shar say Rehai day !

-------------------------------------------

Nazia Niazi
Reply With Quote