View Single Post
  #100  
Old Sunday, August 26, 2012
Fassi's Avatar
Fassi Fassi is offline
Senior Member
 
Join Date: May 2012
Location: Islamabad, Hafizabad
Posts: 469
Thanks: 13
Thanked 753 Times in 324 Posts
Fassi is a glorious beacon of lightFassi is a glorious beacon of lightFassi is a glorious beacon of lightFassi is a glorious beacon of lightFassi is a glorious beacon of lightFassi is a glorious beacon of light
Default

Quote:
Originally Posted by ~BraveHeart~ View Post
~ Meri Tanhai~



Aatey ho tum mere khawab mein roshni ki tarah
Jese aasman mein chamakte sitare ki tarah ,

Jab pher dia mu tum ne oron ki tarah,
Beh gaye ashk mere sehlab ki tarah,

Kabhi ao mujh se karo piyar ki baatein,
Ya ab b naraz ho hamesha ki tarah,

Ranj-o-Alm,Gilha-Shikwa,koi shikayat nai tumse,
Bas aik baar pukaro mujhe pehle ki tarah,

Janta hun atey nahi wapis jaaney waley,
Magar ab b piyar hai tumse Saagar ki tarah,

Na raha ab woh bazm-e-mehfil ka mahol,
Jis tarah hoti thi dil ki baatein afsaane ki tarah,

Shab ko aya milne tere kehne se,
Jalta raha raat saari parwane ki tarah,

Kuch aisa raha tanha “Z” tere jaaney se,
Jesey Dasht mein tanha Qais ki tarah .

Bhai yeh "Bazam-e-Mehfil" kaun sa lafz hy.... Bazam ka matlab e Mehfil hota hy

ap "Bazam-e-Yar" likh sakte ho"Bazm-e-Naz" likh sakte ho ya "Koocha-e-Jana" ya "Koocha-e-Yar" likh sakte apnay mehboob ki gali ya mehfil ko....

baqi apke khailaat achay hyn lakin WAZAN ki bohat kaami hy.... Radeef Kafia ka bhi khayal rakhana ghazal main bohat zaroori hy jo aap ne bilkul b nai rakha hy.... dil pay mat laina mujhe ADBI LOGON se muhabbat hy aur main chahat hun apki shari main NIKHAR aye aur humein kuch acha parhnay ko milay jo dil ko choo jaye......
__________________
Apni Matti Pay Hi Chalnay Ka Saleeqa Seekho
Sang-e-Marmar Py Chalo Gy To Phisal Jao Gy
Reply With Quote
The Following 3 Users Say Thank You to Fassi For This Useful Post:
pakdolly (Monday, November 05, 2012), Zara Sheikh (Monday, February 11, 2013), ~BraveHeart~ (Sunday, August 26, 2012)