Safar.e.laa.hasil
SAFAR.E.LAA.HASIL
safr e wehshat, keh tha jaan leva bohat
baton baton main kat gia younhi
mere ajnabi rafiq, terii rafaqt main
woh nazar aati hai manzil, aa gaye aakhir
samandron se guzar ke sahil, pa gaye aakhir
wahan teri rah main phool
aankhen bichaye baithe hain
tum ne ab phoolon pe safar karna hai
kisi aankh ki raaton ko sahar karna hai
apne khwabon main haqeeqat ka guzar karna hai
jo muntzar rahi teri mehfil ki
tum ne un aankhon ko aasooda nazar karna hai
nai ruten hongi, piara mousam
yeh teri aankh ka tara, mousam
woh ke jise daikh ke sab bolen
kash aisa hi ho hamara mousam..!!
aur hum ne bhi...ik kaam naya karna hai
hum ne tajdeed e wehshat ka safar karna hai
khush raho...musafron ne phir kab...
tere nagar se guzar karna hai.....
safar karna hai..!!
|