#1
|
|||
|
|||
Safar.e.laa.hasil
SAFAR.E.LAA.HASIL
safr e wehshat, keh tha jaan leva bohat baton baton main kat gia younhi mere ajnabi rafiq, terii rafaqt main woh nazar aati hai manzil, aa gaye aakhir samandron se guzar ke sahil, pa gaye aakhir wahan teri rah main phool aankhen bichaye baithe hain tum ne ab phoolon pe safar karna hai kisi aankh ki raaton ko sahar karna hai apne khwabon main haqeeqat ka guzar karna hai jo muntzar rahi teri mehfil ki tum ne un aankhon ko aasooda nazar karna hai nai ruten hongi, piara mousam yeh teri aankh ka tara, mousam woh ke jise daikh ke sab bolen kash aisa hi ho hamara mousam..!! aur hum ne bhi...ik kaam naya karna hai hum ne tajdeed e wehshat ka safar karna hai khush raho...musafron ne phir kab... tere nagar se guzar karna hai..... safar karna hai..!! |
|
|