View Single Post
  #198  
Old Tuesday, October 23, 2012
Farrukh Aziz's Avatar
Farrukh Aziz Farrukh Aziz is offline
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Jahaan rauza e pak e Khairul wara hai
Wo jannat nahi hai to phir aur kya hai
Kahaan mai kahaan yeh Madine ke galiyaan
Yeh qisamt nahi hai to phir aur kya hai

Muhammed (saw) ki Azmath ko kya poochte ho
Ke wo Sahibe Qaba Qausain tehre
Bashar ki sare Arsh mehmaan nawazi
Yeh Azmath nahi hai to phir aur kya hai

Jo aasi ko Kamli me apne chupa le
Jo dushman ko bhi zakhm khakar dua de
Use aur kya naam dega zamana
Wo Rehmat nahi hai to phir aur kya hai

Qayamat ka ek din muaiyan hai lekin
Hamare liye har nafas hai qayamat
Madine se hum jaan nisaraun ki doori
Qayamat nahi hai to phir aur kya hai

Tum Iqbal yeh naat kehto rahe ho
Magar yeh bhi soncha ke kya kar rahe ho
Kahaan tum Kahaan madhe Mamduhe Yazdaan
Ye jur\'rat nahi hai to phir aur kya hai
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
mjkhan (Friday, January 25, 2013)