View Single Post
  #3  
Old Tuesday, November 15, 2005
sibgakhan sibgakhan is offline
SIBGA-TUL-JANAT
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Appreciation
 
Join Date: Jul 2005
Posts: 1,221
Thanks: 349
Thanked 428 Times in 261 Posts
sibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the rough
Default

Zikr-e-shab-e-firaaq say wehshat usay bhi thi
meri tarah kisi say mohabbat usay bhi thi

mujh ko bhi shauq tha nayey chehroun ki deed ka
rasta badal k chalney ki aadat usay bhi thi

us raat dair tuk raha woh mehv-e-guftugoo
masroof main bhi kum tha faraghat usay bhi thi

mujh say bicharh k shehar main ghul mil gaya woh shakhs
halaankey shehar bhar say adaawat usay bhi thi

woh mujh say barh k zabt ka aadi tha jee gaya
warna hur ik saans qayamat usay bhi thi

tanha hua safar main tou mujh pay khula yeh bhaid
saayey say piyaar dhoop say nafrat usay bhi thi~!!

MOHSIN NAQVI
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq
Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!!
Reply With Quote