|
Share Thread: Facebook Twitter Google+ |
|
LinkBack | Thread Tools | Search this Thread |
#1
|
|||
|
|||
My favourite collection
Dard itna tha k kal rat Dil-e-Wehshi ne
Her Rug-e-Jan se uljhna chaha Her bn-e-moo se tpkna chaha or kahin door tery sehan main goya patta patta mery afsurda Lahoo main dhul ker husn-e-mehtab se azurda nazar any laga mery viran-e-tan main goya sary dukhty huy reshon ki tanabe'n khul ker silsila war pata deny lagin rukhsat-e-qafila-e-shoq ki tyyari ka or jab yad ki bujhti hui shammon main nazar aya kahin ek Pal, Akhri Lamha teri dildari ka dard itna tha k is se b guzarna chaha Ham ne Chaha bhi, mager Dil na Tehrna chaha |
#2
|
|||
|
|||
"khuda woh waqat na laay "
khuda woh waqat na laay kay sogawar hou tu sakoon ki neend tujay b haraam hou jaaiy tairi musarratay peham tamaam hou jaaiy tairi hayaat tujay talkh jaam hou jaaiy ghumoo say aaina dil gadaaz hoo tara hajoomay yass say baytab hoo k rah jay wafuray dard say simab hoo k rah jay tara shabab fakat khuab hoo k rah jay gharoor husan sarapa niaz hoo tara tawil raaton may tu b karar ko tarsay tari nigah kissi ghum gissar ko tarsaay khizan rasida tamana bahar ko tarsay koi jabin na taray sangay astaan pay jukay k jinsay ajzoo akidat say tuj ko shaad karay faraib-e-wada-e-farda pay aitmaad karay khuda woh waqat na laay k tuj ko yaad aayey woh dil k taray liay baykarar abb be hay woh ankh jisko tara intazar abb be hay FAIZ AHMED FAIZ
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!! |
#3
|
|||
|
|||
Zikr-e-shab-e-firaaq say wehshat usay bhi thi
meri tarah kisi say mohabbat usay bhi thi mujh ko bhi shauq tha nayey chehroun ki deed ka rasta badal k chalney ki aadat usay bhi thi us raat dair tuk raha woh mehv-e-guftugoo masroof main bhi kum tha faraghat usay bhi thi mujh say bicharh k shehar main ghul mil gaya woh shakhs halaankey shehar bhar say adaawat usay bhi thi woh mujh say barh k zabt ka aadi tha jee gaya warna hur ik saans qayamat usay bhi thi tanha hua safar main tou mujh pay khula yeh bhaid saayey say piyaar dhoop say nafrat usay bhi thi~!! MOHSIN NAQVI
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!! |
#4
|
|||
|
|||
KONSEY DUKH KI BAAT KARAIN
Tum tou bus aik hee dukh poochtey ho konsey dukh ki karain baat zara yeh to bata mausamoun, sard hawayoun ki maseehaayi ka dukh raah ki dhool main bikhri hui beenaayi ka dukh sung k shehar main khud dukh say shanasaayi ka dukh ya kisi bheegti barsaat main tanhaayi ka dukh konsey dukh ki karain baat k dil ka darya itni tugyaani ki zad par hay k kuch yaad nahin kub humain bhool gaya koan say hurjaayi ka dukh tum tou bus aik hee dukh poochtey hou!!
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!! |
#5
|
|||
|
|||
Meray humnawa teri beyrukhidil-e-mubtala ki shikast hay
isey kis tarah main kahoon fatah yeh meri ana ki shikast hay tu chala gaya mujhay chorh kar main nay phir bhi tujh ko sadayain deen meray humsafar tu ruka nahin yeh meri sada ki shikast hay tujhey laa k dil main bitha dia, tujhey raaz hur ik batadia tu nay phir bhi koi wafa naa ki yeh meri wafa ki shikast hay main chaaragh-e-kuhna mizaaj tha , tujhey bijliyoun ki talab rahi mujhey aandhiyoun nay bujha dia yeh meri ziaa ki shikast hay' mujhey is tarah naa sataogey , mujhey zoam tha k naa jao gey mera ghalat wehm-o-gumaan hee meri intehaa ki shikast hay mujhey koi tujh say gilaa nahin, tu mila tha kub? k bicharh gaya meray jurm ki hay yehi saza yeh meri wafa ki shikast hay meri khamoshi k bayaan ko, tu samajh k bhi naa samajh saka meray aansooun ka payaam hee dil-e-baynawa ki shikast hay gham-e-daastaan-e-hayaat k sub hee tazkirey huay rayegaan meray chaaragar tera yeh hunar, meri hur ada ki shikast hay mujhey razmagah-e-hayaat main yoon kabhi naa koi giraa saka teri khamoshi ki pukaar hee meri ibtidaa ki shikast hay meri jaan tasadduq khamosh reh, bhala zour kis ka hawayoun par k jahan bhi rukh yeh badal gayeen waheen naakhudaa ki shikast hay!!
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!! |
#6
|
|||
|
|||
Aaj phir satayey gee raat poorey chaand ki
dar badar phirayey gee raat poorey chaand ki baam-o-dur ki qaid main rooh pharhpharayey gee wehshatain barhayey gee raat poorey chaand ki jis taraf main jaoon gaa meray saayey ki tarah meray saath jayey gee raat poorey chaand ki aisa lag raha hay ab, tu agar bicharh gaya laut kar naa aayey gee raat poorey chaand ki aaj hee say chorh dey mera haath warna phir umr bhar rulayey gee raat poorey chaand ki!! AITBAAR SAAJID
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!! |
#7
|
|||
|
|||
Ik zara si ranjesh say
Shak ki zard tehni pay phool badgumani kay Is tara say khiltay hain Zindagi say payaray bhi ajnabi say lagtay hain Ghair ban kay miltay hain Dost dar lehjhon main silwatain si parti hain Umer bhar ki chahat ka kuch sila nahi milta Dashtay beyakeni main asra nahi milta Phool rang wadon ki manzelain sukarti hain Rah murnay lagti hay, berukhi kay garay say, bedili ki miti say Faslon ki inton say int jurnay lagti hay Khak urnay lagti hay’ wahmon kay saiy say umer bhar ki mehnat ko Pal main tor jatay hain Bhear main zamanay ki sath chor jatay hain Ik zara si ranjesh say Hath chut jatay hain Khuwab tut jatay hain.
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!! |
#8
|
|||
|
|||
kab kaun kisi ka hota hai
sub jhootey rishtey naate hain... sub dil rakhney ki batein hain sub asal roop chhupate hain... ikhlaq se khali log yahan lafzon ke teer chalate hain... ik baar nigahon mein aakar phir saari umar rulate hain... woh jis ne diye hain ashk humein ab us ko bhool hi jaate hain...
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!! |
#9
|
|||
|
|||
Kehnay ko us say mera koi waasta nahin
amjad magar woh shakhs mujhay bhoolta nahin darta hoon aankh kholoon to manzar badal naa jayey main jaag to raha hoon magar jaagta nahin aashaftagi say uski usay beywafa naa jaan aadat ki baat or hay dil ka bura nahin tanha udaas chaand ko samjho naa beykhabar hur baat sun raha hay magar bolta nahin khamosh ratjagoun ka dhuwaan tha chahaar soo nikla kub aaftaab mujhay to pata nahin amjad woh aankhain jheel see gehri to hain magar un main koi bhi aks meray naam ka nahin!! AMJAD ISLAM AMJAD
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!! |
#10
|
|||
|
|||
TUHMATAIN TO LAGTI HAIN....
roshni ki khuahish main ghar say bahir aanay ki kuch saza to milti hai log log hotay hain un ko kia khabar janaan! aap kay iradey ki,khubsurat aankhon main palney waley khuabon kay rung kesay hotay hain dil ki goud aangan main palney wali baaton kay zakham kesay hotay hain kitnay gehray hotay hain kia yeh jaan saktey hain aisi bey'gunaah aankhain ghar kay konon khudron main chup kay kitna roti hain phir bhi is kahani say, apni kaj'rawani say is qadar rawaani say dastan sunatey hain aur yaqeen ki aankhain sach kay ghamzada dil say lag kay kitna roti hain tuhmatain to lagti hain,roshni khuahish main tuhmaton kay lagnay say dil kay dost ko janaan! ab udas kia kerna tuhmaton say kia derna
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!! |
|
|
Similar Threads | ||||
Thread | Thread Starter | Forum | Replies | Last Post |
Statistics and Probability | obaidkhan | Statistics | 3 | Friday, August 23, 2013 02:51 PM |
My Favourite collection | Predator | Urdu Poetry | 171 | Wednesday, March 13, 2013 12:34 PM |
Mughal Land Revenue System | The Star | History of Pakistan & India | 4 | Friday, June 03, 2011 08:22 PM |
My favourite Quotes | Nonchalant | Humorous, Inspirational and General Stuff | 1 | Thursday, June 11, 2009 09:45 AM |
A breif history about Museum | Muhammad Adnan | General Knowledge, Quizzes, IQ Tests | 4 | Friday, February 16, 2007 05:01 PM |