View Single Post
  #5  
Old Tuesday, November 15, 2005
sibgakhan sibgakhan is offline
SIBGA-TUL-JANAT
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Appreciation
 
Join Date: Jul 2005
Posts: 1,221
Thanks: 349
Thanked 428 Times in 261 Posts
sibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the roughsibgakhan is a jewel in the rough
Default

Meray humnawa teri beyrukhidil-e-mubtala ki shikast hay
isey kis tarah main kahoon fatah yeh meri ana ki shikast hay

tu chala gaya mujhay chorh kar main nay phir bhi tujh ko sadayain deen
meray humsafar tu ruka nahin yeh meri sada ki shikast hay

tujhey laa k dil main bitha dia, tujhey raaz hur ik batadia
tu nay phir bhi koi wafa naa ki yeh meri wafa ki shikast hay

main chaaragh-e-kuhna mizaaj tha , tujhey bijliyoun ki talab rahi
mujhey aandhiyoun nay bujha dia yeh meri ziaa ki shikast hay'

mujhey is tarah naa sataogey , mujhey zoam tha k naa jao gey
mera ghalat wehm-o-gumaan hee meri intehaa ki shikast hay

mujhey koi tujh say gilaa nahin, tu mila tha kub? k bicharh gaya
meray jurm ki hay yehi saza yeh meri wafa ki shikast hay

meri khamoshi k bayaan ko, tu samajh k bhi naa samajh saka
meray aansooun ka payaam hee dil-e-baynawa ki shikast hay

gham-e-daastaan-e-hayaat k sub hee tazkirey huay rayegaan
meray chaaragar tera yeh hunar, meri hur ada ki shikast hay

mujhey razmagah-e-hayaat main yoon kabhi naa koi giraa saka
teri khamoshi ki pukaar hee meri ibtidaa ki shikast hay

meri jaan tasadduq khamosh reh, bhala zour kis ka hawayoun par
k jahan bhi rukh yeh badal gayeen waheen naakhudaa ki shikast hay!!
__________________
Aalam-e-soz o saz main, wasl se barh ker hai firaaq
Hijr me lazt-e-talb, wasl main marg-e-arzoo...!!!
Reply With Quote