View Single Post
  #217  
Old Wednesday, February 06, 2013
Farrukh Aziz's Avatar
Farrukh Aziz Farrukh Aziz is offline
Senior Member
 
Join Date: Nov 2011
Location: Somewhere between Venus and Mars - Thul Sindh.
Posts: 706
Thanks: 102
Thanked 525 Times in 324 Posts
Farrukh Aziz will become famous soon enough
Smile

Tere Qadmo me aana, mera kaam tha
Meri Kismat jagaana, Tera kaam he

Meri aankho ko he, deed ki arazoo
Rukh se Parda uthaana, Tera kaam he


Teri choukat kahan aur kaha ye jabeen
Tere faiz-e karam ki to hud hi nahi

Jin ko duniya me koyi na apna kahe
unko apna banana Tera kaam he


Baaraa bat�ta he Sultaane Kaunain ka
Sadqa Moula Ali Sadqa Hasnain ka
Sadqa Khwaja Piya Ghous Saqalain ka
Sadqa Sultan Bahu Peer Kaamil ka
Haaziri hogayi ye bhi in�aam he


Mere dil me teri yaad ka raaj he
Zahne Tere Tassawur ka muhtaaj he
Har ek nigahe karam me meri laaj he
Laaj meri nibhaana Tera kaam he


Pesh har aarazoo har tamana karoo
Thaam loo Jaaliya iltija ye karo
Mangne waalo daaman kushaada karo
Noor waale ka Faiz-e-karam aam he
__________________
Man is [a perpetual] Anguish !
Reply With Quote
The Following User Says Thank You to Farrukh Aziz For This Useful Post:
Stunner (Wednesday, February 06, 2013)