Thread: MAA .. (Mother)
View Single Post
  #5  
Old Monday, June 18, 2007
Sureshlasi's Avatar
Sureshlasi Sureshlasi is offline
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason: Best Moderator Award: Awarded for censoring all swearing and keeping posts in order. - Issue reason: Best ModMember of the Year: Awarded to those community members who have made invaluable contributions to the Community in the particular year - Issue reason: For the year 2007Diligent Service Medal: Awarded upon completion of 5 years of dedicated services and contribution to the community. - Issue reason:
 
Join Date: Mar 2006
Location: پاکستان
Posts: 2,282
Thanks: 483
Thanked 3,082 Times in 760 Posts
Sureshlasi is a name known to allSureshlasi is a name known to allSureshlasi is a name known to allSureshlasi is a name known to allSureshlasi is a name known to allSureshlasi is a name known to all
Default Khuwaab !!!

Raat phir khawaab main aa kar mujhse
Meri ammi ne kuch sawaal kiye Mujhse
Us ney pahley mujhey dua ye di
Khuda karey ki tu sau saal jiye
Unki aankhon main muhabbat bhi thi,
Afsos bhi tha
Ek Aasu bhi tha un aankhon main
Jo chilata bhi tha, khamosh bhi tha
Mujhse poocha keh betey kaisey ho
Koi diqat to nahin hai tumko
Phir kaha
Tumko maloom hai kya
Main badi takleef main hoon
Jab se laiti hoon so nahin payee
Tumhaari wajah se main khul k ro nahin payee
Terey gunaah mujhko saanp ban k dastey hain
Farishtey aakar har roz fiqrey kastey hain
Tumhi bataao beta mainey kya kami ki thi
Merey samjhaney main kami kia thi
Ya meri tarbiyat adhoori thi
Kyon burey kaam roz kartey ho
Kyon nahin us khuda se dartey ho
Jisney tumko ye jaan bakshi hai
Jisney tumko amaan bakshi hai
Laut kar jiske paas jaana hai
Kya usey munh nahin dikhana hai
Kya tumhein is liye parhaya tha
Kya tumhein yehi sab sikhaya tha
K apney ilm par Guroor karo
Apney nafs ko masroor karo
Jab bhi bolo to bas galat bolo
Zulm dekho to lab nahi kholo
Bhool kar deen bhool kar mazhab
Apni auqaat note main taulo
Sach batao k yeh kia qissa hai
Kya ye andaaz meri tarbiyat ka hissa hai
Mujhko afsos nahin ki tu mujhey bhool gaya
Ranj yeh hai ki mera jeena hi fazool gaya
Main to Jee key bhi roz marti hoon
Main tujhey roz yaad karti hoon
Jis tarah jeeney ka agaaz kiya hai tuney
Uskey anjaam se main darti hoon
Khuda karey k tujhey ab bhi samajh aa jaye
Koi to aakey tujhey seedhee raah dikha jaye
K ikhtitaam ho teri gunah ki shaamon ka
Mujhey bhi ajar miley terey naik kaamon Ka

--------------------------------------------------------------------------

@ Mazhar

Thank u brother !!!
__________________
ஜ иστнιπg ιš ιмթΘรรιвlε тσ α ωιℓℓιиg нєαят ஜ
Reply With Quote