View Single Post
  #1  
Old Sunday, December 18, 2005
Argus's Avatar
Argus Argus is offline
Administrator
 
Join Date: Mar 2000
Location: Islamabad
Posts: 702
Thanks: 351
Thanked 2,445 Times in 282 Posts
Argus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to beholdArgus is a splendid one to behold
Default Zarb Ul Masl Ashaar

ZARB UL MASL ASHAAR



Aa andaleeb mil k karain aah-o-zaariyaan
tu hayey gul pukaar main chillaon hayey dil~!!


Baghbaan nay aag di jub aashiyaaney ko meray
jin pay takkiya tha wohi pat'tey hawa denay lagey!! (Saqib lakhnavi)


woh baat saarey fasaney main jis ka zikr naa tha
woh baat unko bohat naagawaar guzri hay!! (Faiz)



sun to sahi jahan main hay tera fasana kia
kehti hay tujhko khalk-e-Khuda ghaibaana kia!! (Haider Ali aatish)



ab udaas phirtey ho sardioun ki shaamoun main
is tarah to hota hay is tarah k kamoun main!!(Shoaib bin aziz)

hum talib-e-shuhahrat humain nang say kia kaam
badnaam agar hongain to kia naam naa hoga? (sheefta)


muddayi laakh bura chahey to kia hota hay
wohi hota hay jo manzoor-e-Khuda hota hay(irshad lakhnavi)


dil k phapoley jul uthey seenay k daag say
is ghar ko aag lag gayi ghar k charaagh say!!


khard ka naam junoun parh gaya , junon ka khard
jo chahey aap ka husn-e-karishma saaz karey

phool to do din bahar-e-jaan fiza dikhla gayey
hasrat un ghunchoun pay hay jo bin khiley murjha gayey(Zauq)


bohat dil khush hua Hali say mil kar
abhi kuch log baqi hain jahan main(Haali)

bohat shaur suntey thay pehloo main dil ka
jo cheera to aik qatra khoon ka naa nikla!! (aatish)



yad-e-maazi azaab hay YaRab
cheen lay mujh say hafza mera!! (akhtar ansari)


itni naa barha paki-e-damaan ki hiqayat
daman ko zara daikh zara band-e-qaba daikh!!sheefta



Qais jungle main akaila hay mujhey jaaney do
khoob guzrey gi jo mil bethay gain deewaaney do!!


layey us but ko iltija kar k
kufr toota khuda khuda kar !!



uljhey hain paoon yaar k zulf-e-daraz main
lo aap apney daam main sayyad aagaya (Momin)



main akela hee chala tha janib-e-manzil magar
log saath aatey gayey kaarwaan banta gaya!!


ki meray qatl k baad us nay jafa say tauba
hayey us zood pashemaan ka pashemaan hona!! (mirza ghalib)
Reply With Quote