View Single Post
  #1  
Old Wednesday, October 21, 2015
Man Jaanbazam's Avatar
Man Jaanbazam Man Jaanbazam is offline
Excursionist
Moderator: Ribbon awarded to moderators of the forum - Issue reason: Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Jan 2013
Location: Into The Wild
Posts: 1,940
Thanks: 1,140
Thanked 1,478 Times in 754 Posts
Man Jaanbazam has a spectacular aura aboutMan Jaanbazam has a spectacular aura aboutMan Jaanbazam has a spectacular aura about
Default Jahan bhi gaye daastaan chor aaye !

Mohabbat ki rangeeniyaan chor aaye,
Tere shehar main ek jahaan chor Aaye.

Pahaadon ki woh mast-o-shadaab waadi,
Jahan hum dil-e-naghma khawan chor aaye.

Woh sabza woh dariya woh peron ke saaye,
Woh geeton bhari bastiyaan chor aaye.

Haseen panghaton ka woh chaandi sa paani,
Woh barkha ki rut woh saamaan chor aaye.

Bahut se mile humsafar raste mein,
Nahin yaad kis ko kahan chor aaye.

Bahut door hum aa gaye uss gali se,
Bahut door woh aastaan chor aaye.

Bahut meharbaan thi woh gul-posh raahen,
Magar hum unhen meharbaan chor aaye.

Bhagolon ki soorat yahan phir rahe hain,
Nasheman sar-e-gulistaan chor aaye.

Ye aijaz hai husn-e-aawaargi ka,
Jahan bhi gaye daastaan chor aaye.

Chale aaye un rahguzaaron se ‘jalib
Magar hum wahan qalb-o-jaan chor aaye. !!
__________________
The world is changed by your example, not by your opinion !

Last edited by Man Jaanbazam; Wednesday, October 21, 2015 at 03:55 PM.
Reply With Quote
The Following 5 Users Say Thank You to Man Jaanbazam For This Useful Post:
canadian (Wednesday, October 21, 2015), economic genius (Wednesday, October 21, 2015), fasadi bacha (Thursday, October 29, 2015), mehreen ali (Wednesday, October 21, 2015), Saggitarius Awan (Wednesday, October 21, 2015)