View Single Post
  #43  
Old Sunday, April 20, 2008
Wounded Healer's Avatar
Wounded Healer Wounded Healer is offline
Senior Member
Medal of Appreciation: Awarded to appreciate member's contribution on forum. (Academic and professional achievements do not make you eligible for this medal) - Issue reason:
 
Join Date: Dec 2006
Location: a few moments farther from creation
Posts: 576
Thanks: 49
Thanked 161 Times in 115 Posts
Wounded Healer has a spectacular aura aboutWounded Healer has a spectacular aura about
Default Hum sunaien toh kahani aur hai

Hum sunaien toh kahani aur hai
Yaar logoon ki zabani aur hai

Chaara ger rotey hain taza zakham ko
Dil ki beemari purani aur hai

Jo kaha hum ne woh mazmoon aur tha
Tarjumaan ki zabani aur hai

Hai bisaat-e dil laho ki aik boond
Chasham-e purkhoon ki ravani aur hai

Nama ber Ko kuch bhi hum paegaam dain
Dastaan uss ne Sunani aur hai

Aab-e zamzam dost laaie hain aabas
Hum jo peetay hain woh pani aur hai.

Sub Qayamat Qayamatoon ko dehkh lo
Kya mere jana ka sani aur hai?

Ahelay dil ki anjuman main aa kabhi
Un ki duniya yaar jani aur hai

Shairi kerti hai ik duniya Faraz
Per teri sada bayani aur hai.
__________________
*********************************
The only verdict is vengeance; a vendetta,
held as a votive, not in vain, for the value
and veracity of such shall one day vindicate
the vigilant and the virtuous.
*********************************
Reply With Quote